Sog me dubi duniya thi saari

Aayi Ali ki ban me sawaari

(Pehre pe Zainab dard ki maari) x2

Baap ko dekha roke pukaari

Dekho to baba, haay, dekho to baba

(Shaam-e-ghariba ka ye manzar) x2

    Kehti thi rokar zainab-e-muztar

    Shaam-e-ghariba ka ye manzar, Kehti thi rokar zainab-e-muztar, Shaam-e-ghariba ka ye manzar
    (Deti thi Zainab ban me duhaayi, Haaye mujhe kyu mawt na aayi) x2

    Khencha gaya beemaar ka bistar

    Shaam-e-ghariba ka ye manzar (Kehti thi rokar zainab-e-muztar, Shaam-e-ghariba ka ye manzar) x2
    (Teero(n) ne chayda baap ka sina, soye kaha par bali Sakina) x2

    Nawha kuna hai wo jalti zamee(n) par

    Shaam-e-ghariba ka ye manzar (Kehti thi rokar zainab-e-muztar, Shaam-e-ghariba ka ye manzar) x2
    (Sukhe huwe kuzo(n) ki sada hai, pyaase idhar hai udhar darya hai) x2

    Nawha yahi hai khushk labo(n) par

    Shaam-e-ghariba ka ye manzar (Kehti thi rokar zainab-e-muztar, Shaam-e-ghariba ka ye manzar) x2
    (Dasht-e-bala mei bikhre hai laashe, tute huwe talwaar aur neza) x2

    Dekho zara ay fatah-e-khaybar

    Shaam-e-ghariba ka ye manzar (Kehti thi rokar zainab-e-muztar, Shaam-e-ghariba ka ye manzar) x2
    (Kaisi luti haay aal-e-payambar, legaye zalim cheen ke chadar) x2

    Chaand sitare roye ye kehkar

    Shaam-e-ghariba ka ye manzar (Kehti thi rokar zainab-e-muztar, Shaam-e-ghariba ka ye manzar) x2
    (Door huwe jab god ke paale, rut gaye is ghar se ujale) x2

    Rone lagi hai dekh ke madar

    Shaam-e-ghariba ka ye manzar (Kehti thi rokar zainab-e-muztar, Shaam-e-ghariba ka ye manzar) x2
    (Khaak mere baalo(n) mei pari hai, khaak basar awlad-e-nabi hai) x2

    Sare kahani kehta hai rokar

    Shaam-e-ghariba ka ye manzar (Kehti thi rokar zainab-e-muztar, Shaam-e-ghariba ka ye manzar) x2
    (Baba inhe tawfeeq ye dena, hashr talak parhte rahe nawha) x2

Yaad rahe "Irfan" aur "Mazhar"