(Ya muhammad, ya basheer, ya nazeer-o-ya mahmood) x2
Ya mukarram ya mu'azzam ya muqaddam ya haadi
Ya jaleel-o-ya jameel, ya mateen-o-ya taha
Hai tuhi aasra ay hussain ke nana
(Ya rasoolallah) x2
Hamne darbar-e-zehra mei ki iltijaa
Aur kabhi bint-e-zehra se mangi dua
(Hamne ghazi ki chokhat pe sajda kiya) x2
phir jabee(n) tere dar par jjhukali
(tera dar hai jahaa me misali) x2
(Bharde jholi meri ya muhammad) x2 (sab hussaini hai tujhse sawali) x2
Bharde jholi meri ya muhammad sab hussaini hai tujhse sawali
Hai sakhiyo(n) to sara gharana tera
Do jahaa(n) pe khula hai khazana tera
(Parh raha hai qasida zamaana tera) x2
tune sabki musibat hai ttali
(meri jholi abhitak hai khali) x2
(Bharde jholi meri ya muhammad) x2 (sab hussaini hai tujhse sawali) x2
Bharde jholi meri ya muhammad sab hussaini hai tujhse sawali
Jistarha se saji mehfile panjatan
Tu muhammed tera bhai khayber shikan
(aur khayber shikan ka pisar hai hassan) x2
de hassan ke baradar ka sadqa
(jisne sajde me ghardan kataali) x2
(Bharde jholi meri ya muhammad) x2 (sab hussaini hai tujhse sawali) x2
Bharde jholi meri ya muhammad sab hussaini hai tujhse sawali
Tu masiha hai humko dawaa chahiye
Maut ttaljaye gar tu ishara kare
(hum faqiro(n) ko tujhse ye nisbat bhi hai) x2
hum faqiro(n) ke kapre hai kaale
(tere khandhe pe kamli hai kaali) x2
(Bharde jholi meri ya muhammad) x2 (sab hussaini hai tujhse sawali) x2
Bharde jholi meri ya muhammad sab hussaini hai tujhse sawali
Har hussaini bahan ki hai ye iltija
Tere dar se na mayoos koyi gaya
(dede asghar ka sadqa habibe khuda) x2
ye hai un bibiyo(n) ki sadaaye
(jinki aghosh abtak hai khaali) x2
(Bharde jholi meri ya muhammad) x2 (sab hussaini hai tujhse sawali) x2
Bharde jholi meri ya muhammad sab hussaini hai tujhse sawali
Ye jo kamsin hussaini pareshan hai
Farshe majlis pe ashghar ke mehmaan hai
(haa(n) ye agle zamaane ke "irfaan" hai) x2
hai ye awno muhammed ke zakir
(tu inhe umr de khizr waali) x2
(Bharde jholi meri ya muhammad) x2 (sab hussaini hai tujhse sawali) x2
Bharde jholi meri ya muhammad sab hussaini hai tujhse sawali
Akhri iltaja hai ye aqa mere
Baap ka daste shafkat kabhi na uthe
(Sar pe maao(n) ka saaya salamat rahe) x2
dede umme abiha ka sadqa
(jo hai rutbe me maryam se aali) x2
(Bharde jholi meri ya muhammad) x2 (sab hussaini hai tujhse sawali) x2
Bharde jholi meri ya muhammad sab hussaini hai tujhse sawali
Aik bimar qaydi ka hai waasta
Shaam tak khoo(n) ke ansu jo rota raha
(jiske zanjir parhti rahi marsiya) x2
uske sadqe me dede rihaayi
(jisne teri nabuwat bachaali) x2
(Bharde jholi meri ya muhammad) x2 (sab hussaini hai tujhse sawali) x2
Bharde jholi meri ya muhammad sab hussaini hai tujhse sawali
Jab azaao kashkol bharjayega
qarz jo hai qalam par utarjayega
(zehn parwaz ki oj barhjayega) x2
oj "mazhar" ka kayse ho jese
(the "zabeer-o-anees-o-rahali") x2

Social Plugin