Me jahaa bhi gaya tera matam kiyaa

Tera nawha parhaa

Tujko pursaa diya

(Pucha duniya ne jab mera naam or nasab) x2

fakhr karte huwe mene unse kahaa

(Me teen shabo roz ke pyaase ka hu zakir, shabbir ka zakir hu me shabbir ka zakir) x3

    Ha uska hu zakir ke ali jiska tha baba (maa fatema zehra thi behen zainabe kubra) x2 jo log muje kehte hai kafir hai wo kafir, shabbir ka zakir hu me shabbir ka zakir

    (Me teen shabo roz ke pyaase ka hu zakir, shabbir ka zakir hu me shabbir ka zakir) x3
    Ho bus me agar mere to duniya ko bataadu (har gar me azaa khana-e shabbir sajaa du) x2 hai karbala waalo ke liye jaan bhi hazir, shabbir ka zakir hu me shabbir ka zakir

    (Me teen shabo roz ke pyaase ka hu zakir, shabbir ka zakir hu me shabbir ka zakir) x3
    Din raat-e dare shah pe sajde bhi karunga (jabtak hai meri saas yuhi nawha parunga) x2 palaa hai mujhe maa ne isi kaam ki khatir, shabbir ka zakir hu me shabbir ka zakir

    (Me teen shabo roz ke pyaase ka hu zakir, shabbir ka zakir hu me shabbir ka zakir) x3
    bachpan me mujhe baap ne taalim yahi di (har saas zamaanat hai hussain ibne ali ki) x2 hai fikr meri shaam ke rasto ke musafir, shabbir ka zakir hu me shabbir ka zakir

    (Me teen shabo roz ke pyaase ka hu zakir, shabbir ka zakir hu me shabbir ka zakir) x3
    Rag rag me lahu banke ghame shah rawaa hai (matam se koyi rokle mumkin ye kahaa hai) x2 tum meri zubaan kaat do bolenga lahu phir, shabbir ka zakir hu me shabbir ka zakir

    (Me teen shabo roz ke pyaase ka hu zakir, shabbir ka zakir hu me shabbir ka zakir) x3
    Na khof he dushman ka na duniya ka koyi dar (tufaano se takraata hu matam ki binaa par) x2 hai baarwa haider hi mera haamiyo naasir, shabbir ka zakir hu me shabbir ka zakir

    (Me teen shabo roz ke pyaase ka hu zakir, shabbir ka zakir hu me shabbir ka zakir) x3
    Fatwo ki hawaao se kabhi me nahi darta (jannat ke liye majliso matam nahi karta) x2 jannat to banaayi khuda ne meri khatir, shabbir ka zakir hu me shabbir ka zakir

    (Me teen shabo roz ke pyaase ka hu zakir, shabbir ka zakir hu me shabbir ka zakir) x3
    Aazayishe duniya ki zaroorat hi nahi hai (ye majlise shabbir hi firdows bari hai) x2 is baat pe rehta hu shabo roz-e me shakir, shabbir ka zakir hu me shabbir ka zakir

(Me teen shabo roz ke pyaase ka hu zakir, shabbir ka zakir hu me shabbir ka zakir) x3