(Kya qayamat lab-e-alqama hai) x2

Mashk chidi pani baha, ho gaye bazu kalam
Phool se Abbas ka, surkh huwa jab alam
Shor utha nehr par, qatl-e-alamdar shud
Shaad huwe ehl-e-shar, qatl-e-alamdar shud
Are dekha suw-e-nehr to Shabbir ne rokar kaha
(Khoon mei duba alam Abbas ka) x2

Mei hu watan haa(n) yaha, qatl-e-alamdar shud
Are kyu(n) na qamar ho kama, qatl-e-alamdar shud
Are kyu na lahu ankho(n) se barsuo(n) bataa karbala
(Khoon mei duba alam Abbas ka, dekha to Shabbir ne rokar kaha) x2

Mojo(n) ne matam kiya, qatl-e-alamdar shud
Are dasht se ayi sada, qatl-e-alamdar shud
Are dekha suw-e-nehr to Zainab ko nazar agaya
(Khoon mei duba alam Abbas ka, dekha to Shabbir ne rokar kaha) x2

Lut gaya zehra ka cheyn, qatl-e-alamdar shud
Are roke ye bole Hussain, qatl-e-alamdar shud
Are meri Sakina ke liye hoga payaam-e-qaza
(Khoon mei duba alam Abbas ka, dekha to Shabbir ne rokar kaha) x2

Koyi nahi aasra, qatl-e-alamdar shud
Are bhaayi akela huwa, qatl-e-alamdar shud
Are sar se rida jayengi Zainab ko yaqee(n) hogaya
(Khoon mei duba alam Abbas ka, dekha to Shabbir ne rokar kaha) x2

Haath rakha qalb par, qatl-e-alamdar shud
Are pheynki ridaa khaak par, qatl-e-alamdar shud
Are ehl-e-haram saath huwe parhne lagi marsiya
(Khoon mei duba alam Abbas ka, dekha to Shabbir ne rokar kaha) x2

Toot gaya aasra, qatl-e-alamdar shud
Are paani nahi ayenga, qatl-e-alamdar shud
Are bhigi huwi ankho(n) se dekho to suw-e-alqama
(Khoon mei duba alam Abbas ka, dekha to Shabbir ne rokar kaha) x2

Kaise jiyungi bhala, qatl-e-alamdar shud
Are mujhko na ayi qaza, qatl-e-alamdar shud
Are aas meri toot gayi dekha jo mere khuda
(Khoon mei duba alam Abbas ka, dekha to Shabbir ne rokar kaha) x2

Nana ne nawha kiya, qatl-e-alamdar shud
Are kehti hai maa sayyeda, qatl-e-alamdar shud
Are dekh naya zakhm mere laal tujhe degaya
(Khoon mei duba alam Abbas ka, dekha to Shabbir ne rokar kaha) x2

Ab mera lashkar kaha, qatl-e-alamdar shud
Rone lagi alqama, qatl-e-alamdar shud
Khaymo(n) mei hai shor-o-sheyn, qatl-e-alamdar shud
Karti hai Zainab bukaa, qatl-e-alamdar shud
Fizza ne payi khabar, qatl-e-alamdar shud
Bacho(n) se sheh ne kaha, qatl-e-alamdar shud
Noha hai kulsoom ka, qatl-e-alamdar shud
Rote hai mushkil kusha, qatl-e-alamdar shud
Karta hai "Mazhar" buka, qatl-e-alamdar shud

Khaak urhaao zara, qatl-e-alamdar shud
Are nawha hai "Irfaan" ka, qatl-e-alamdar shud
Are peet'te hai sina-o-sar dekh ke ehl-e-aza
(Khoon mei duba alam Abbas ka, dekha to Shabbir ne rokar kaha) x3