Haaye baap ki yaad sakina ko jo tarapti thi
Waa hussaina ki sada deke wo chillati thi
Ye sada hind ke kaanose jo takrati thi
Are hind zindan ke darwaze pe ajati thi
hind zindan ke darwaze pe ajati thi
usne ik din kaneezo(n) se puchha
kuchh batawo(n) ke hai majra kya
kiski rone ki hai ye sadaaye(n)
kon zinda(n) me karta hai nawha
hind roti thi zinda(n) ki darpar ik yateema ki awaz sunkar
hind roti thi zinda(n) ki darpar
al gharaz agayi zindan talak mehve bukaa
parh ke zinadaan ke darbano ne dar khol diya
baabe zindaan me dakhil jo huwi wo dukhiya
are (ek bachhi ko andhere me tarapte dekha) x2
apne sine se usko lagaya
ponch kar aashk bachhi se puchha
kyu(n) hai nawha tera wa hussaina
naam badlade apne padar ka
hind roti thi zinda(n) me aakar ik yateema ki awaz sunkar
hind roti thi zinda(n) aakar
hind ne puchha watan usne kaha bewatani
kaam jab hind ne puchha to kaha sina zani
jurm jab puchha to wo boli ghareebul watani
are (dard jab puchha to kehne lagi eeza rasani) x2
hind ne puchha kabse ho qaydi
peet ke sar ko boli wo bachhi
saal bhar qayd me yu(n) ghuzaara
na dawa hai na marham hai koyi
hind roti thi zinda(n) me aakar ik yateema ki awaz sunkar
hind roti thi zinda(n) aakar
hind ne puchha maraz kya hai kaha bepadari
roke wo boli dawa kya hai kaha nawha ghari
ghar jo dariyaft kiya kehne lagi darbadari
are (boli leta hai khabar kon kaha bekhabari) x2
hind ne puchha gham ka madawa
boli bus aasra hai khuda ka
dard dil me jo uthta hai mere
naam leti hu(n) mushkil khushaa ka
hind roti thi zinda(n) me aakar ik yateema ki awaz sunkar
hind roti thi zinda(n) aakar
naam haider ka suna karne lagi hind bukaa
puchha bachhi se bhala inse tera rishta kya
roke bachhi ne kaha gham to yahi hai dukhiya
are (baap shabbir hai dada hai mere shere khuda) x2
kya kahe aur "irfan-o-mazhar"
phenk di hind ne sar se chaadar
bichh gaya qayd me farshe matam
wa hussaina tha sab ki zubaa(n) par
(haaye hussaina) x4