Ek bacchi Jo thi moosiye kaazim ke dilka chayn,
Har eid pe karti thi musalle pe jaake bayn

1) Karthi hai rabse dua , ay shahe uqda kusha (haaye baba jaan ),
Abke baras eid pe , aaiye behre khuda ,
Baap kabhi bêtise hote nahi yu juda - (2)
   
Bibi masooma- e - qum ka tha ye nouha ,
Kya abke baras aaoge baba

2) 14 baras aapke qaide sitam me Kate (haaye baba jaan)
Qaid bhi aisi jahan aap rukoo me rahe ,
Aur yahan mere lab maaile fariyad the - (2)
My yahan aap wahan karte hai nouha.....
Kya abke baras aaoge baba

3) Logo se maine suna aisi hai qaide jafa   (haaye baba jaan) ,
Gairo ke zanjeer bhi padthi rahe marsiya ,
Waqt ki zanjeer ne qaid mujhe bhi kiya - (2) ,
Maine paigaam hawavon se ye bheja......
Kya abke baras aaoge baba

4) Qaid ki taarikiyaa'n qaid ke tanhaiyaa'n (haaye baba jaan) ,
Meri tarha raat din karti hai tum par fugha'n ,
Dono hai zindaan me Aap wahan mai yaha'n-(2),
Ye batao ke mujhe dene dilasa...
Kya abke baras aaoge baba

5) Uth gaya tera padar maine suni jab khabar (haaye baba jaan)
Tooti umeedein meri qalb hua nouha gar ,
Kohe sitam gir pada dukhtare mazloom par -(2) ,
Rehgaya phir bhi fazavon me ye nouha....
Kya abke baras aaoge baba

6) Tang hai mujh par zameen zapt ka yaara nahi ( haaye baba jaan )
Aur ye furqat ka gum aur ye qalbe hazee ,
Aap nahi aayenge kya mai ye karlu yaqee -(2)
Nouha din raat yahi karti hoon baba...

Kya abke baras aaoge baba..

7) Zakhmi kaleja mera karta rahega buka (haaye baba jaan)
Ab to chale aaiye aagayi sar par qaza ,
Zebe musalla hu mai sunlo meri ilteja -(2) ,
Baba bin aapke bekaar hai jeena...
Kya ab ke baras aaoge baba..

8) Bibi ka ye marsiya mazhar-o-irfan ka ,
Gum ye kisi beti ko ab na dikhaye khuda ,
Maine sahe hai jo gum jaanta hai dil mera -(2) ,
Ek misra hai masayib ka sahifa....
Kya abke baras aaoge baba

Bibi masooma - e - qum ka tha ye nouha
Kya abke baras aaoge baba -(3)...