Abbas abal fazl….(4)
Ya sayyedi yaa.. abbas
ya sayyedi ya abbas
Ya sayyedi yaa.. abbas
ya sayyedi ya abbas
ya sayyedi ya abbas..(4)

Kuch aise saliqe se ataa karta hai ghazi..
duniya ye samajhti hai khuda baat raha hai
teri hifazat mein rahe saare azadaar... wallah
baab e hussain - alamdaar..(4)

1. Hum rahe ya na rahe dard ki tasweer rahe
matam e shabbir rahe
wallah..
kya hai qaza, baqa, fana, hawa..
bus ye diya jalta rahe
har areeze pe likha tera naam
zikr e shabbir kare subho shaam
hai azadaro ka bus yehi kaam
baab e hussain - alamdaar..(4)

2. Ae wafadaar dil e madar e shabir ke chayn
tera laqab baab e hussain
wallah..
tujhko padha, likha, suna, kaha
khwab e ali khwab e hussain
tu ataa karta hai ab ataa kar
mausam e ghum ki fiza ataa kar
har jagah farsh e azaa ataa kar
baab e hussain - alamdaar..(4)

3. Jo hai saugaat e azaa zinda rahe taba abad
chahiye bus itni madad
wallah..
tera haram, karam, hasham, alam
hai tere hone ki sanad
tu sakhi ibn e sakhi wafadaar
aagaye darr pe tere gunehgaar
saniye shere khuda madadgaar
baab e hussain - alamdaar..(4)

4. Jhula, taboot, alam aur ye paani ki sabeel
dete hai humko ye daleel
wallah
dono jaha'n, jinaa, yaha'n, waha'n
tu hai ghume sheh ka wakeel
jab jaha'n dekhe alam kahe hum
duniya ho jaye fana rahe ghum
matam e sheh ki sadaa na ho kam
baab e hussain - alamdaar..(4)

5. Leke hatho pe alam aag pe hum chalte rahe
aur dua karte rahe
wallah..
zakhme azaa, qama, buka, wafa
ehle azaa karte rahe
ho ye zanjeer zani hamadam
aur rahe khooni qaba yehi hum
yani abaad rahe tera ghum
baab e hussain - alamdaar..(4)

6. Rasme saqqayi adaa aath moharram ko kare
haziri hum karte rahe
wallah
banke faqeer, ameer, wazeer, aseer
jaake tere darr pe kahe
tu duao'n ko asar ataa kar
khali godi ko pisar ataa kar
rizq, aulad, hunar ataa kar
baab e hussain - alamdaar..(4)

7. Kehke jo baab e hussain maange dua hogi qubool
kehta hai ye ibn e rasool
wallah
tera akhi, wali, wasi, sakhi
ye hai dilo jaane batool
ye wazeefa ho tere labo par
teri sunlenge dua payambar
wird ye sham o sahar kiya kar
baab e hussain - alamdaar..(4)

8. Zindagi bhar yehi mazhar o irfan dua
zinda rahe ehle azaa
wallah..
nauha azaa, fugha, quraa'n, bayaa'n
jaari rahe ye silsila
ye kahe ehle sukhan meri jaa'n
soz khwa'n ehle qalam nauha khwa'n
tu azadaro ka hai qadardaa'n
baab e hussain - alamdaar..(4)