(Aap gharibul watan me bhi gharibul watan) x2 Ae mere baba

    Aap ka maydaan me tiro pe lashaa raha. (Mere gohar chin gaye aag se daman jalaa) x2 Ae mere baba. Aap rahe be kafan me bhi rahi be kafan

    (Aap gharibul watan me bhi gharibul watan) x2 Ae mere baba
    Aap ke halqoom par shimr ka khanjar chalaa (Mujko tamache lage sar se chini hai ridaa) x2 Ae mere baba. Aap ke neze pe sar mere gale me rasan

    (Aap gharibul watan me bhi gharibul watan) x2 Ae mere baba
    Aap ko roti rahi tashna labi dasht mei (Daag yatimi mila mujko isi dasht mei) x2 Ae mere baba. Aap hai tashna dahan mei bhi hu tashna dahan

    (Aap gharibul watan me bhi gharibul watan) x2 Ae mere baba
    Dono ki mazloomiyat dekhi hai aflaak ne (Dono ki hurmat rakhi dasht ke is khaak ne) x2 Ae mere baba. Khaak bani hai ridaa khaak bani hai kafan

    (Aap gharibul watan me bhi gharibul watan) x2 Ae mere baba
    Waqt musibat huwi dono hi hamse judaa (Dono ki taqdeer me tha game furkat likha) x2 Ae mere baba. Ek behen aap ki ek hai meri behen

    (Aap gharibul watan me bhi gharibul watan) x2 Ae mere baba
    Aapne chora watan nawha kuna tha falak (karbobala se kiya mene safar shaam tak) x2 Ae mere baba. Aap asiri mahan me hu asiri rasan

    (Aap gharibul watan me bhi gharibul watan) x2 Ae mere baba
    Aap ke hamraah to Akbaro Abbas hai (Mujpe ye tanhaayiya roti hai zindaan mei) x2 Ae mere baba. Meri lahad qayd hai aap ka roza wo ban

    (Aap gharibul watan me bhi gharibul watan) x2 Ae mere baba
    Kalle alamdar se aap ki tuti kamar (Panjo pe chalte huwe mene kiya hai safar) x2 Ae mere baba. Aap ko sadmo ki aur mujko safar ki thakkan

    (Aap gharibul watan me bhi gharibul watan) x2 Ae mere baba
    Dono pe pardes mei kaysi musibat pari (Mujse padar chin gaya aapse beti chini) x2 Ae mere baba. Aap gharibul watan me bhi gharibul watan

(Aap gharibul watan me bhi gharibul watan) x2 Ae mere baba