hichkiyan lete thay ali akbar umme laila ye bain karti thi
poshaak udhaloon ke mai armaan nikaloon
ay maut teher jaa ay maut teher jaa
mai apne jawan laal ko dulha to bana loon
...ay maut

is laal ko mai kaise karoon tere hawale
ye chand to deta hai zamane ko ujale
is chand ki poshaak sitaron se sajaloon
...ay maut

athara baras phoolon ki tarha jise paala
jaata hai mujhe chod ke wo gesuon wala
ab tu hi bata kaise mai is dil ko sambhaloon
...ay maut

dekhe thay bahut khaab magar khaak hue sab
is bete ke sehre ki dua karti thi zainab
dulah na sahi mai ise dulah sa banaloon
...ay maut

har shaam jise lagti hai ab shame gharibaan
jo kehti thi akbar ki dulhan laaungi amma
us fatima sughra ko madine se bulaloon
...ay maut

qaime se zara door khade rote hai sarwar
ek haat kalaje pe hai ek haat kamar par
mai khud ko sambhaloon ke shahe deen ko sambhaloon
...ay maut

ye kiski nazar kha gayi is noore nazar ko
veeran kiye jaate hai akbar mere ghar ko
jee karta hai is chaand ko dunya se chupaloon
...ay maut

zainab ke labon par hai buka haaye muqaddar
kya sehra chadhaun mai teri lash pe akbar
aur khud ko teri laash pe sadqe hi utaroon
...ay maut

mehendi na lagi haaton may hai khoon badan ka
pooshak-e-shahani ko mila daag kafan ka
is laash pe athaarveen mannat ko badhaloon
...ay maut

taqdeer kisi maa ko ye manzar na dikhaaye
maiyat pe jawaan laal ke wo ashq bahaaye
jee bhar ke ise dekhloon aur ashq bahaun
...ay maut

faryaad zara sunle sakina ki zubaani
marjaungi bichda jo mera yousuf-e-saani
bhaiya mere naraaz hai mai unko manaloon
...ay maut

maa roti rahi mazhar-o-irfan tadapkar
aur aakhri hichki may safar kargaye akbar
maa kehti rahi mai ise dulah to banaloon
...ay maut