Lipat ke turbat se boli madar
Utho sakina chalo watan ko
Are rehayi zindan se paayi dil bar

Utho sakina chalo watan ko (2)

Yeh puchtithi bohot tha arman
Reha kab hoge yaha se amma

Woh waqt aab agaya mayyassar

Yeh neend kesi hai ankhe kholo
Pukarti ho mei jab se bolo
Khudara khao taras ke maa par

Tumhare dukh se mariz bhai
Jukaye sare se kare duhaai
Phuphi bhi dekho hai kitni muztaar

Kaha pe hai dard kuch batao
Garib maa ko na yu rolao
Gale se lag jaao mere muztar

Safar yaha se hai karbala ka
Waha pe ammu se karna shikhwa
Wahi pe tumko milega asgher

Hoyi ho jab se khamush beta
Na jane phutta hai kyo kaleja
Ajib zindan ka hai yeh manzar

Bagere tere ho kese jaana
Baseyenge hum bhi qaid khana
Mei kese jaongi pesh sarwar

Anees kese sitam ki halat
Na puch barpa thi ek qayamat
A baba kehti thi jaa tadap kar