Alwida ay Behan Alwida(2x)
Boley Shah e Zaman Alwida
Alwida ay Behan Alwida(3x)

Qatl ka Merey lamha qareeb aa gaya
Ek andhera sa char'on taraf chhagaya
waqt se pehley suraj bhi grehna gaya
Mai hoo tanha mera har sahara gaya
Alwida ay Behan Alwida

chaltey chaltey faqat Tum sey hai ek sawaal
Meri pyari Sakina s.a ka rakhna khayaal
Bin Merey zinda rehna hai iska mohaal
meri bachi ko honey na dena malaal
Alwida ay Behan Alwida

jab girun Apney ghoRey se soye zameen
aur jhuka doon mai sajdey may apni jabeen
mujh ko zibha karega jo shimr e laeen
tum na aajana Khaimey se bahar kaheen
Alwida ay Behan Alwida

Merey kunbey ki ab ho tumhi paasbaan
hai Mera janasheen laaghar o natawan
Rah e Koofa hai Zanjeer aur beRiyaan
ab tumharey hawaley hai ye karwaan
Alwida ay Behan Alwida

lootney aaye Khaim'on ko jab ashqiya
ho sakey to bacha lena apni Rida
Sabr karna na karna kabhi bad dua
har qadam par madadgaar hoga khuda
Alwida ay Behan Alwida

yun na Gardish may aaya sitara kabhi
yun huey thay na hum be sahara kabhi
saath ek pal na choota hamara kabhi
ab na aayega Bhai tumhara kabhi
Alwida ay Behan Alwida

ay Behan aisi bhi aayegi Reh guzar
jab miley tumko rastey may shireen ka ghar
aur pehchan le tumko shireen agar
kehna wada hua poora ay khush siyar
Alwida ay Behan Alwida

so gaye khaak par tashnalab Shaah e Deen
jal gaye Khaime aur chaadarain chhin gayin
ho gayi khaali Shabbir a.s se ye Zameen
ik sada e Alam aaj tak hai yaheen
Alwida ay Behan Alwida

Bhej Mehshar Ghareeb ul Watan par Salaam
Tashnalab Khastatan Bekafan par Salaam
Sheh ke Ansaar par Panjatan s.a.w.w par Salaam
ek Bhai pe aur ek Behan par Salaam
Alwida ay Behan Alwida