shabih-e-payambar akbar, nauha kare maa
shaah ka dilbar akbar, nauha kare maa

armaan bahot tha main teri shaadi rachaoon
ek roz dulhan chand si mai byaah kay laaoon
par laash pe roti hai teri kokh jali maa
shabih-e-payambar akbar, nauha kare maa
shaah ka dilbar..

zindan thay tumhay dekh ke ab kaise jiyengay
socha tha tere byaah ki poshak siyengay
par tujh ko kafan bhi na mila haaye meri jaan
shabih-e-payambar akbar, nauha kare maa
shaah ka dilbar..

roti hai phuphi jis nay tujhe laad say paala
tum kya gaye rukhsat huwa is ghar say ujaala
ek baap zayeefi may huwa be sar-o-samaan
shabih-e-payambar akbar, nauha kare maa
shaah ka dilbar..

mar jaye jawaan laal agar door watan se
mahroom ho ghurbat kay sabab gor-o-kafan se
tadpaata hai is waqt may kya tangi-e-daamaa
shabih-e-payambar akbar, nauha kare maa
shaah ka dilbar..

abbas ka sadma bhi, abhi kam na huwa tha
aisay may meri jaan tera waqt-e-ajal aaya
tum margaye kuyn mar na gayi laal teri maa
shabih-e-payambar akbar, nauha kare maa
shaah ka dilbar..

bemaar behan takti hai beta tera rasta
pardes may aaye to raha yaad na waada
maqtal kiya aabaad madina kiya veeraan
shabih-e-payambar akbar, nauha kare maa
shaah ka dilbar..

phirta hai meri aankh may ab tak wohi manzar
ay jaan-e-pider noor-e-nazar ay ali akbar
hamshakl-e-nabi kehte thay tum ko shah-e-zeeshan
shabih-e-payambar akbar, nauha kare maa
shaah ka dilbar..

allah nigehbaan tumhara meray pyaaray
hum log rasan basta suye shaam sidhaare
sota hai teray saath yahin asghar-e-naadan
shabih-e-payambar akbar, nauha kare maa
shaah ka dilbar..

pyaasay thay bahot pyaas ye kis tarah bujhaai
is chaand say sine pe sina zulm ki khaayi
tum sotay ho maa jaati hai beta suye zindaan
shabih-e-payambar akbar, nauha kare maa
shaah ka dilbar..

rehaan ye kya khoob likha gham ka fasana
zehra ne tujhe bakhsha hai lafzon ka khazaana
le hogaya bakhshish ka teri hashr may samaan
shabih-e-payambar akbar, nauha kare maa
shaah ka dilbar..