
Darwazaey khaima pe liye haath mei kuza
Abbas ka shabbbir ka woh taqti thi woh rasta
Behla ti thi dil aapna woh de de ke dilasa
Aab shaam hoyi paani liye aenge chacha
Phir kod hi woh kehne laagi ghabrake phupphi se
Darya se abhi taq mere baba nahi palte
Gehre huey ashur ko jab shaam ke saaye
Kehti thi sakina koi yeh mujhko bataey
Kyo ye phuphi amma mera
Baba nahi aaye (2)
Din doob gaya wa hussaina
Paani na milawa hussaina
Sukha hai galawa hussaina
Sunkar yeh sakina ka baya saniyeh zehra
Kehne laagi darya pe bohot sakht hai pehra
Paani abhi laenge
Meri jaan tere baba (2)
Mashkija liyewa hussaina
Darya pe chalewa hussaina
Woh tere liyewa hussaina
Phir kehne laage roke phuphi jaan mere jaao
Baba nahi aate tu chacha jaan ko bolao
Bhayya ali akbar hai
Kaha kuch tu batao (2)
Lagta hai mujhewa hussaina
Sab rooth gayewa hussaina
Rone se merewa hussaina
Kehdo ke mei aab pyaas ka shikwa na karongi
Sine pe bhi sone ke liye zid na karongi
Paani nahi milta na sahi
Ashk piyongi (2)
Sunlo yeh sadawa hussaina
Laut aao chachawa hussaina
Tum behre khudawa hussaina
Kyo khali pada hai yeh ali asgher ka yeh jula
Hujre me nazar aata nahi qasime nausha
Kyu khoon mei dooba hai
Alam mere chacha ka (2)
Sab kutne lagawa hussaina
Sine mei merawa hussaina
Do mujhko sadawa hussaina
Chadar yeh lahoo rang tumhari hyi kese
Kya dukh hai aankho mei nazar aate hai halke
Meine tumhe dekha
Nahi istarha rote (2)
Kya gham hai tumhe wa hussaina
Batloa hamewa hussaina
Are hum bhi tu sune wa hussaina
Zainab ko bhi akkhir na raha zapt ka yaarab
Sar pit ke kehne laagi yeh saaniye zehra
Ada na bhare ghar ko
Sakina tera mara (2)
Sab mare gayewa hussaina
Paani ke liyewa hussaina
Baba bhi terewa hussaina
Aab koi nahi aayega sabr kija hai
Maqtal mei tre pyaaro sar tan se juda hai
Mardo mei fakad sayyede
Sajjad bacha hai (2)
Khamush rahowa hussaina
Aur sabr karowa hussaina
Wa tasht piyo wa hussaina
Kuch der mei jal jaayenge khaime bhi hamare
Chin jaayenge kano se gohar bibi tumhare
Kano se abhi khoon ke
Bahege abhi dhare (2)
Yeh zulm chalawa hussaina
Ey dukhtare mawa hussaina
Bandhe ge rasnwa hussaina
Badkegi abhi aag jalega tera damaan
Sar nezope aur khaak pe tadpege sabhi taan
Shaabir ki gurbat pe
Bohot royenga yeh baan (2)
Are baaniye shar wa hussaina
Lejaaye kidhar wa hussaina
Kisko hai khabar wa hussaina
Sajjad ke pehro mei bhi zanjeer padegi
Dadi teri roti hoyi humraah chalegi
Chadar na tere aur na
Mere sar pe rahegi (2)
Be zoror kafn wa hussaina
Dekhegi behan wa hussaina
Shabbir ka taan wa hussaina
Behaal sakina yeh suni dard ki taqreer
Boli ke phuphi yo bhi bekhar jaati hai taqdeer
Aab kuch na kaho chalte hai
Sine pe mere teer (2)
Karti yeh buka wa hussaina
Ey ahle jafawa hussaina
Kya zulm kiya wa hussaina
Sunlo yeh sada wa hussaina
Laut aao chacha wa hussaina
Laut aao chacha
Social Plugin