Khwaab e Ghaflat mein soye hue momino,
Aish o Ishrat badhane se kya fayeda!

Aankh kholo aur yaad Rabb ko karo,
Umar yuu hi gawaane se kya fayeda!!!!

Apne rabb ko jawaani mein bhoola hai tu,
Aur taaqat ke boote pe phoola hai tu!!

Jab jawani dhalegi to pachtaayega,
Aise rone rulaane se kya fayeda!!!!

Tha Hukuumat ka Firoun ko bhi nasha,
Zulm par Zulm wo Khalqat karta raha!!!

Jab Samunder mein Dooba to kehne laga,
Is Hukuumat ke paane se kya fayeda!!!!

Kitna Ma' aroof qissa hai Shaddaad ka,
Rooh jab uske Tan se nikaali gai!!!!!!!

Marta Marta wo logo se kehta gaya,
Aisi Jannat banaane se kya fayeda!!!!

Maaldaari mein mash' hoor Qaaroon tha,
Wo mukhaalif tha Moosa wa Haaroon ka!!

Jab Zamee mein dhasaya to kehne laga,
Aise bejaa khazaane se kya fayeda!!!!!

Qaabile zikr Qissa hai namrood ka,
Wo bhi inkaar karta tha ma'Abood ka!

Uske bheje ko machchhar ne khaa kar kaha,
Yu badaai jataane se kya faayeda!!!!!

Apni shohrat pe 'mohsin' yuu na machal,
Aik din aa dabochegi tujhko ajal!!!!!!

Rooh ko saaf kar nek a'Amaal kar,
Jism e zaahir banaane se kya fayeda!!!!

Khwaab e Ghaflat mein soye hue momino,
Aish o Ishrat badhane se kya fayeda!!!!!

Aankh kholo aur yaad Rabb ko karo,
Umar yu hi gawaane se kya fayeda!!!!!