Nauha DUNYA BHOOLI NA TERI TASHNADAHAANI ASGAR recited by HASAN SADIQ in 2014.

Maatam karo mazloom ka, Chey maah Ke maasoom ka (2)

Dunya bhooli na Teri tashanadahaani asgar,

Aaj bhi dhoond rahi hai (2) tujhey paani asgar.

1) tha tu Maasoom magar azm tera dekha jawaan,
Tujhsa aye qoon e ali ki zamaaney me kahaa,

Tujhme Akbar ki Nazar aayi (2) jawaani asgar.

2) sunkey halmin ki sadaa baba Ke tu saath gaya,
Naizey pey jhool Ke jhoola tu gaya deen bachaa,

Saari dunya me koi tera (2) na saani asgar.

3) saath Shabbir Ke islaam bachaaya tuu ney,
Lafz e hizyaan Jo kehtey they mitaaya tuu ney,

Tera mamnoon hai Islam (2) ka baani asgar.

4) dekh Kar Tera tabassum bhaari larzaata huwa,
Haath se girta raha baar baar teer e qazaa,

Teri jaanib Jo kamaa (2) hurmala taani asgar.

5) tujhko roye ye zameen aasmaan rota hai,
Chaand Qursheed sitaarey ye jahaa rota hai,

Tujhko daryaaon ki roti hai (2) rawaani asgar.