HAEY MAZLOOMA FATIMA ZEHRA(s.a.)
HAEY MAZLOOMA FATIMA ZEHRA(s.a.)

JAISAY SADMAY TU NAY BIBI(s.a.) HAEY UTHAAEY RAAT DIN
GAR YEH PARH JAATAY DINO'N PE, MISL-E-SHAB HO JAATAY DIN
HAAEY MA'ASOOMA FATIMA ZEHRA(s.a.)

===========

TERI SACHCHAAI PE KARTA NAAZ HAI RABB-E-JALI(j.j.)
ummati darbaar MEIN TU HAAEY JHUTLAAI GAIEE
HAQ NAHI'N PAAYA FATIMA ZEHRA(s.a.)

===========

TERAY DAR PAR KHUD RISALAT JHUK KAY KARTI THI SALAM
PAR NAHI'N ummat NAY SAMJHA TERAY IS DAR KA MAQAAM
DAR JALA DAALA FATIMA ZEHRA(s.a.)

===========

GHAM ABHI BHOOLA NAHI'N THA TERAY BABA(s.a.w.w.) KA TUJHAY
EK NAYA GHAM MIL GAYA HAI TERAY MOHSIN(a.s.) KA TUJHAY
HAAEY MAZLOOMA FATIMA ZEHRA(s.a.)

===========

YA ALI(a.s.) YA ALI(a.s.) YA ALI(a.s.) YA ALI(a.s.)

MU'AF KARNA WAALI-O-MOLA MERAY PIYARAY ALI(a.s.)
AAP KI KHIDMAT JO POORI KAR NA PAAO'N YA ALI(a.s.)
RO DIYAY MOLA(a.s.) FATIMA ZEHRA(s.a.)

===========

BA'AD MERAY PIYAR SAY BACHCHO'N KO RAKHNA YA ALI(a.s.)
NA KABHI MEHSOOS HONAY DIJIEAYGA MERI KAMI
RO DIYAY MOLA(a.s.) FATIMA ZEHRA(s.a.)

===========

SHAB KI TAREEKI MEIN MAIYYAT KO MERI LAY JAANA TUM
YA ALI(a.s.) UN zalimo'n(L.a.) KO HAR GIZ NA AANAY DAINAY TUM
THI WASIYAT YA FATIMA ZEHRA(s.a.)

===========

ZAKHMI PEHLOO KO SANBHAALAY ROTI HAIN DILGEER WOH
JANAY KION HASRAT SAY TAKTI REHTI HAIN SHABBIR(a.s.) KO
SOCHTI HAIN KIA FATIMA ZEHRA(s.a.)

===========

BA'AD MERAY KARBALA MEIN SHEH(a.s.) KI NUSRAT KAY LIYAY
YA ALI(a.s.), FARZAND EIK ABBAS(a.s.) HONA CHAHIEY
KARTI HAIN YEH DUA FATIMA ZEHRA(s.a.)

===========

SEENA-E-SHABBAR(a.s.) KO CHOOME'N AUR KABHI SHEH(a.s.) KA GALA
CHOOM KAR ZAINAB(s.a.) KAY BAAZOO KARTI HAIN AAH-O-BUKA
YAAD AAYA KIA FATIMA ZEHRA(s.a.)

===========

KEHTI HAIN FIZZA(s.a.) SAY BIBI(s.a.) AEY KANEEZ-E-BAWAFA
TERAY ZIMMAY ZAINAB(s.a.)-O-KULSOOM(s.a.) KO MAIN NAY KIYA
ROTI HAIN FIZZA(s.a.) FATIMA ZEHRA(s.a.)

===========

ZAKHM-E-TAN SAY ZAKHM-E-MAN SAY GHAIR HAALAT HOGAI
WAQT WOH AAYA KE BIBI(s.a.) KI SHAHADAT HOGAI
ARSH THARRAYA FATIMA ZEHRA(s.a.)

===========

ZAINAB(s.a.)-O-KULSOOM(s.a.)-O-FIZZA(s.a.) SHABBAR(a.s.)-O-HAIDER(a.s.) YAHA'N
DOOR KONAY MEIN KHARHAY SHABBIR(a.s.) ROTAY HAIN WAHA'N
MAAJRA HAI KIA FATIMA ZEHRA(s.a.)

===========

KEHTAY HAIN HAIDER(a.s.), KIA MADAR(s.a.) KAY QAREE'N NA AAE'NGAY
BOLAY SHEH(a.s.) AMMA'N(s.a.) BULAE'NGI HUMEIN TO AAE'NGAY
KIA HAI RABB(j.j.) KI RAZA FATIMA ZEHRA(s.a.)

===========

SUN KAY AAWAAZ-E-SHAH-E-DEE'N KHUL GAEY BAND-E-KAFAN
AAI BIBI(s.a.) KI SADA AA LA'AL MERAY GUL BADAN
MAA'N HO TUJH PEH FIDA FATIMA ZEHRA(s.a.)

===========

AAJ BHI BIBI(s.a.) TERI MARQAD BARHI WEERAAN HAI
AUR ZIYARAT KA TAMANNAAI TERA "Farhan" HAI
TUM BULA LO NA'N FATIMA ZEHRA(s.a.)