Aik Zakir Shaam Pohncha Dil Main Lekar Ye Khayal
Dekh Kar Bazar aur Darbaar Poochun Yeh Sawal
Sar Barehna Jab thi Zainab Bekafan Zehra Ka Laal
Sar Pe Sooraj Chal Raha Tha Jis Ghari Chyunti Ki Chaal
Faasla Bazar Se Darbaar Tak Taey Jab Kya
Waqt Uss Mushkil Safar Main Kitna BIBI ko Laga

Marqad-e-Zainab Pe Pohncha or Mujawir Se Kaha
Aey Mujaawir Marqad-e-Zainab k Mujhko Ye Bata
Taey Safar Bazar se DArbaar Tak Main ne Kya
Waqt Mujhko iss Safar Main Chund Saa-at Ka Laga
Iss Zara Se Faasley ko Khwahar-e-Shabbir ne
Kitni Saa'at Main Kya Taey Zainab-e-Dilgeer Ne

Ro Dia Sun Kar Mujawir yeh Sawal or Yeh Kaha
Zakir-e-Shabbir Hy Sun-ney Ka Tujh Main Hausla
Tuney Taey Yeh Faasla Jo Chund Saa'at Main Kya
Yeh Safar Zainab Ka Sadion K Barabar Hogaya
30 Ghanton Main Yahan Tak Pohnchi Bint-e-Fatima
Gird Thy Laakhon Tamashaaii Hazaaron Ashqiya

-----------Sham-e-Ghariba------------------------------

Or Meri Behno Ye Ghari Hy Kisqadar Ehsaas Ki
Thi Behen ABBAS(as) ki, Nazren Awam-un-naas Ki
Be'Ridaaee Be'ghari or uss Pe Shiddat Pyaas Ki
Kehti Thi Mil Jaaey Chadar Parcham-e-ABBAS ki

Saa'at-e-Shaam-e-Ghariban Yad Wo ABBAS ki
Jab Na Tha Koi Bhi Waaris Ma Siwaaey Bekasi
Ghamzada K Haath Main Aik Chob-e-Khaima Aagaey
Ban Gaeey ZAINAB ALI, ABBAS Bhi SHABBIR Bhii

Sehmey Bach'on k Liye Bint-e-Ali Thi Pehra Daar
Sabko Deti Thi Tasalli Khud Magar Thi Ashk'baar
Nagahan Dekha Chala Aata Hy Jaisey Ik Sawar
Thaam Li Baag-e-Faras, BIBI ne Hokey Beqar

Boli Ab Kya Lootney Aya Hy, Sab Kuch Lut Gaya
Jal Gaya Asbab Sara, Bhai Mera Margaya
Lot Ja Deti Hun Tujhko Mustafa Ka Wasta
Main Nabi Zaadi Hun Main Zainab Hun Bint-e-Sayyeda

Mustafa Ka Naam Sun Kar Hogaya Wo Beqarar
Daal Kar Baanhen Galey Main Hokey Bola Ashkbaar
Main Tera Baba Ali Mushkil Kusha Hun GhamGusaar
Ab Tu Khaimey Main Chali Ja Main Banun Ga PehraDaar

Baap Ko Dekha to Gham Se or Seena Phat Gaya
Dajla-e-Aansu Jo Tha Akhir Ko Beqaabu Hua
Boli Zainab Murtaza Se Kar K Yeh Aah'O Buka
Kat Gaya Kunba Mera Baba Chini Meri Rida

Akbar'O Asghar Sidhaarey Qasim'O Abbas Bhi
Chal Gaey Shabbir K Halqoom Pe Baba Churi
Main Dar-e-Khaima Pe Baba Haath Malti Reh Gaey
So Gaya Darya Kinaarey Jaakey ABBAS-E-JARI

Humko Aye Rehan Qismat Se Sharaf Kaisa Mila
Roza-e-Abbas k Saa'y Main Yeh Nauha Likha
Roza-e-Shabbir Pr Jaakar Jo Sarwar Ne Parha
Yun Laga Kul Ambiya Hain Shaamil-e-Ahl-e-Aza