Ya Hussain a.s

(Ya Hussain a.s) x3
(Ya Hussain a.s) x3
Haaye Ya Hussain a.s Kushta-e-Taygh-e-Jafa
Ya Hussain a.s Sibt-e-Rasool-e-Khuda
Haaye Sar Bar Sar-e-Naiza Tera
Dar Badar Ley Gaye Bani-e-Jafa
Be Kafan Laasha-e-Be Sar Hai Ghareeb-e-Zahra s.a
Hai Badan Ghoro'n Se Pamaal Tera Wavaila
(Ya Hussain a.s) x3

Haaye Nainawa Dasht-e-Bala Karbala
Kyun Hui Jour O Jafa Karbala
Kiya Thi Piyaso'n Ki Khata Karbala
Kuch To Keh Kuch To Bata Karbala
Apney Mehmaan Pe Ye Bandish-e-Paani Kyun Kar
Jisski Madar a.s Ko Mehar Main Mila Houz-e-Kousar
(Ya Hussain a.s) x3

Haaye Aik Maqtal Main Bahattar Laashey
Bhanjey Betey Bhatijey Payasey
Para Para Huey Saarey Aisey
Ek Qura'an Ke Paarey Jaisey
Khaak Urh Urh Ke Shaheedo'n Ka Kafan Banti Thi
Khuld Se Fatima Zahra s.aKi Sada Aati Thi
(Ya Hussain a.s) x3

Haaye Ik Taraf Behta Tha Darya-e-Furaat
Ik Taraf Payaaso'n Pe Mushkil Thi Hayaat
Baad-e-Shabbir a.s Aseero'n Ki Woh Raat
Kaisey Guzri Tan-e-Sad Kaash Ke Saath
Koi Bhai Ko Koi Roti Thi Beto'n Ke Liye
Be Kassi Wo Thi Ke Aansu Na They Aankho'n Ke Liye
(Ya Hussain a.s) x3

Haaye Tashna Lab Be Watan O Be Khata
Sar Tha Sajdey Main Tah-e-Teygh Gala
Aik Aik Zakham Sey Khoon Behta Tha
Nouha Karti Thin Janab-e-Zahra s.a
Khaimey Ke Dar Pe Behan Karti Thi Faryaad O Fughaan
Jaisey Sehra Main Kisi Shakhs Ki Awaz-e-Azaan
(Ya Hussain a.s) x3

Haaye Mar Gaya Sher-e-Alamdar-e-Jarri a.s
Chal Gai Qasim-e-Mehroo a.s Pe Chhurri
Mar Gaya Dasht Main Hamshakl-e-Nabbi a.s
Kha Ke Seeney Pe Sitam Ki Barchhi
Ghar Ka Ghar Zainab-e-Mazloom s.a Ka Barbad Hua
Lut Gaya Shehr-e-Nabbi s.a.w.w Karbala Abaad Hua
(Ya Hussain a.s) x3

Haaye Kat Gaye Baazu-e-Saqqa-e-Haram a.s
Chhid Gai Mashk Hua Thanda Alam
Khaima-e-Sheh a.s Main Tha Barpa Matam
Nouha Kartey They Sabhi Ahl-e-Haram
Aey Alamdar a.s Uthho Chhinti Hai Zainab s.a Ki Rida
Koi Baaqi Na Raha Abid-e-Muztar a.s Ke Siwa
(Ya Hussain a.s) x3

Haaye Fatima Zahra s.a Ye Deti Hain Dua
Ta Qayamat Rahey Ye Farsh-e-Azza
Yunhi Aati Rahey Matam Ki Sada
Ho Har Ek Lab Pe Hussaini a.s Nouha
Hashar Main Sheh Ke Azaadaaro'n Se Pursa Loon Gi
Main Azadaaro'n Ko Jannat Ki Basharat Doon Gi
(Ya Hussain a.s) x3

Haaye Kaisey Rehan Main Likhoon Nouha
Gham Se Seena Hai Mera Karb O Bala
Aankh Se Behta Hai Khoon Ka Darya
Kartey Hain Qalb O Jigar Bhi Girya
Haaye Wo Be Kass O Mazloom Wo Be Yaar Hussain a.s
Rooyen Ge Hashar Talak Jissko Azadaar-e-Hussain a.s
(Ya Hussain a.s) x3