lipat ke turbat se boli madar
utho sakina chalo watan ko
rehaayi zindaan se paayi dilbar
utho....

ye poochti thi bahut tha armaan
reha kab honge yahan se amma
wo waqt ab aagaya mayasar
utho...........

ye neend kaisi hai aankhen kholo
pukaarti hoo mai kab se bolo
khudara khao taras ye maa par
utho........

tumahari chup se mareez bhai
bukaen kar deta hai duhayi
phupi bhi dekho hai kitni muztar
utho.........

kahan pe hai dard kuch batao
ghareeb maa ko na yun rulaao
gale se lagjao mere utkar
utho.......

safar yahan se hai karbala ka
wahan pe ammu se karna shikwa
waheen pe tumko milega asghar
utho....

hue ho jab se khamosh beta
na jaane phat ta hai kyun kalayja
ajeeb zindaan ka hai ye manzar
utho...............

baghair tere ho kaise jaana
batayenge hum bhi qaid-khana
mai kaise jaungi payshe sarwar
utho.......

anees qaide sitam ki haalat
na pooch barpa thi ek qayamat
rabab kehti thi jaa tadapkar
utho..........