milke sab matam-e-shabbir kare
dil ba dil sina ba sina, karbala tameer kare
milke sab....

ye matam pehchan hamari, is pe jaan qurbaan hamari
jism yehi ye jaan hamari, ye matam hai shaan hamari
kehta hai imaan hamara sare jawaano peer kare
milke sab....

asghar teri pyas ka matam, akbar ka abbas ka matam
hasrat ka aur yaas ka matam, haasil hai ehsaas ka matam
laakh zamana humko roke, hum iski tashheer kare
milke sab....

ye matam mazloom ka matam, zehra ke masoom ka matam
pani se mehroom ka matam, taygh tale halqoom ka matam
is matam se hum jo chahe, waqt ko zanjeer kare
milke sab....

abid ki zanjeer ka matam, kushk gale aur teer ka matam
zainab ka shabbir ka matam, dil se kare dilgeer ka matam
jo matam zainab ne kiya tha, hum uski tafseer kare
milke sab....

matam kya hai sheh ka alam hai, ye matam to deen ka bharam hai
jisse khushi ho wo yeh gham hai, haq ka yahi matam parcham hai
is parcham ko is matam ko, seeno pe tahreer kare
milke sab....

matam jis ka darya darya, jiski wafa imaan ka chehra
jiske alam ka khoon pe pharera, doob gaya wo chand na duba
uski wafaat kehti hai hum se, duniyo ko tasqeer kare
milke sab....

yaad may teri shame ghariban, matam karne wale insan
karte hai jab chaak ghareba, zehra khud hoti hai girya
sunnat-e-zehra hai ye matam, isko aalamgeer kare
milke sab....

karna saki jo bhayi ka gham, us zainab ki yaad me ab hum
ranjo khushi se karke baham, har din samjhe mahe muharram
zakhme dile zainab ki khatir, koi dawa akseer kare
milke sab....

jinke rassan may haath bande thay, kaise bhala wo matam karte
unke dilo may yaad basake, nowhay ki matam ki sada se
ehle aza zehra ki dua se, khuld ko jageer kare
milke sab....

maula aisa zarf ata kar, ye matam saughat bana kar
lejaye seeno pe saja kar, shehre najaf may dil may basa kar
apni azadari ka tohfa, nazre khyber-geer kare
milke sab....

kehdenge rehan-o-sarwar, hashr may jab khatune mehshar
poochengi ye baat jo aakar, chahiye kya matam ki bina par
hum kehdenge hum ko ghulame shabbar-o-shabbir kare
milke sab....