meri to aas mere seene may marjati hai
dekhe is qaid se kab milti hai ruqsat amma
haaye zindane shaam

bebasi kaisi hai ye kaisi hai ghurbat amma
kya banegi isi zindan may turbat amma
kehna baba se khudahafizo nasir baba
lo ke ab hoti hoo zindan se ruksat amma
haaye zindane shaam

ab to din may bhi ujaalo se mulaaqat nahi
jo tadapkar na guzaari ho koi raat nahi
kya karoo jeekar chacha mere mere paas nahi
do dua khatm ho ab jald musibat amma
haaye zindane shaam

ab sare shaam parindo pe nazar jaati hai
aisi maqlooq hai udte hue ghar jaati hai
meri to aas mere seene may mar jaati hai
dekhe is qaid se kab milti hai ruksat amma
haaye zindane shaam

tum inhi kapdo ko ay amma bana dena kafan
ho nahi sakte ye tabdeel ke zakhmi hai kafan
baba aajaye to kehdena unhe mera sukhan
apne baba ki na kar paayi mai kidmat amma
haaye zindane shaam

mere baba ka wo seena meri amma laa do
jo tha jeene ka kareena meri amma laa do
jo tha aaramay sakeena meri amma laa do
isse pehle se ho ab maut se khurbat amma
haaye zindane shaam

ho sake to ali asghar ka wo jhoola laa do
amma bhaiya ka mere mujhko shalooka laa do
wo jo taveez tha mannat ka khudaara laa do
mukho phir marne may hovegi na dikhat amma
haaye zindane shaam

ther jao ke khudahafizo nasir amma
saat deti nahi ab bali sakina ki zubaan
kehdo zaalim se ke ab qatm hui aaho fughaan
aah karne ki bhi baakhi nahi taaqat amma
haaye zindane shaam

labe sarwar ke jo rehaan ka nowha aaya
shaam ke zindan se aane lagi awaaze buka
jaise bachi ka koi zakhm hua phir taaza
boli kyon ahle aza karte hai riqqat amma
haaye zindane shaam