Qatle ali ki aati hai aflak se sada

Kisne Yateem zainab o kulsum ko kiya

jibreal ki suni juhi awaaz dil karaaar
betab hoke bibi karne lagi pukaar

jakar tu dekho masjide kufa mei menisar
hasanain se zainabo kulsum ne kaha

puche pisar jo dodte masjid mei behawa
dekha pidar ko khoon mei tar sar shigafta

maimoona umme hani khadija o fatema
kehti kis ne ki mere baba pe yeh jafa

yaa bibi yo ghar mei tha is ghaam se ger haal
maa betio ki girya se ek hasr tha bapa

shehzadiya nikalne ko hai ghar se nange sar
mola ko ghar mei le chalo fizza ne di sada

thame thi beti pao sambhale thi koi sar
kuch karrahi thi sena jani nala o boka

karte wasiyate kabhi hojate the khamoosh
19 or 20 ka din is tarha kata

ikiswi sayam ka kis tarha ho baya
kufa mei ek qayamate sughra hoyi bapa

phut te the sine bewa yaateem ke bayan se
har ghar me ali yaa ali ati thi yeh sada

nauha ka haq ada na howa hai annes se
kuch soz iske nauha mei kardi jeye ata