Bain karti hai bali sakina
Gham se phut jaayega uska sina
Darde furkat hai woh hazina
Wa hussaina hussaina husaina

Kise gham ki ghata aake chaee
Hogai sabse ban mei judaai
Koi pursa nahi aab hamara

Aap aaye naa ammu bhi aaye
Khaime aada ne aakar jalaye
Jal gaya mere bhaiyaa ka jhula

Pas hote jo kasim o akbar
Sar se chinti naa zainab ki chadar
Itne karte jafa phir naa ada

Joke ga khuf se nanna asgher
Pas iske na madar na khwahar
Kis kadar hai bhayanak sehra
Koi jakar yeh asgher se keh ge
Hum bhi bhayya bohot hai pyase
Paani pao tu hum pilana

Thi bohot tum ko tashna dahani
Paya kya tumne aada se paani
Kese asgher suku ran mei paya

Jal gaye tere kurte shalu ke
Mere bonde sitm gar ne chine
Khoon kano se aab bhi hai behta

Sunke baali sakina ke naale
9
Shab huye bibiyo ke kaleje
Lab pe tha yeh anis ke nauha

Wa hussaina hussaina husaina
Baina karti hai bali sakina
Wa hussaina hussaina husaina