
Ye khat mey shaah Ney likkhaa habeeb aajaao
Tumhaara dost hai tanhaa habeeb aajaao
Shaheed kaisey huwa wo bataaogey aakar
T um haal e Muslim e beykass sunaaogey aakar
Ruqayya taktii hai rastaa habeeb aajaao
Lagaao issey bhi andaazey meri gurbat ke
Jahaa' pey Ibney Ali likhna tha wahaa' my Ney
Diyaa hai MAA ka hawaala habeeb aajaao
Bataa rahaa tha usey koi bhi nahii hai Mera
To boli saaniye zehra habeeb aayega
Hai usko tumpey bharosa habeeb aajaao
Wo jab ye sunti hai Koofey se aarahey hai shaqee'
To poochtii hai hamaara bhi aayega koi
Duwaaye deygi Sakina habeeb aajaao
Gawaara Kar nahi' saktii Husain ki gairat
Tumhaari zauja ki chaadar ko lootley ummat
Tum usko chorhkey koofa habeeb aajaao
Mujhey hai yaad wo lamhaa Jo rabb ki marzii se
Tum hokey zinda Meri baat sunney aaye they
Bulaa rahaa Hoon dubaara habeeb aajaao
Darr e Batool dubaara jalaaya jaayega
Tumhaarey dost pey khanjar chalaaya jaayega
Nahi' hai waqt zyaada habeeb aajaao
Chamaktey Chaand ki humko bhi deed hojaaye
Tum aao to merey bacho' mey Eid hojaaye
Bohat udaas hai kunba habeeb aajaao
Ye khat nahi' isey behno'n ki aarzu samjho
Hamaarey lafz ko zainab ki guftagu samjho
Behan ye kehti hai Bhayya habeeb aajaao
Bahan Ney usko takallum Jo Bhai samjhaa tha
Pukaari Shaam gareeba mey saaniye zehra
Hamaara lut'taa hai pardaa habeeb aajaao
Social Plugin