Maula

Na Jaane Kyun Jo Muharram Ki Fiza Chaahne Lage

Dharkan e Dil Se Bhi Matam Ki Sada Aane Lage



Dil Ba Dil, Seena Ba Seena, Ye Aza Abaad Rahe

Ye Dua E Sayyeda He, Ye Dua Abaad Rahe

1)

Chahte Ho Tum Agar Kaaba Rahe Abaad To (x2)

Ye Dua Karte Raho Ke Karbala Abaad Rahe,

2)

He Dawa Har Marz Ki Shabbir Ke Qadmon Ki Khaak (x2)

Khaak e Paaye Shah e Deen Khaak e Shifa Abaad Rahe

3)

Muntaqil Mujh Se Mere Bachon Me Ho Sheh Ki Aza (x2)

Nasl Me Meri Aza Ka Silsila Abaad Rahe 

4)

Ye Sabeelain Ye AzaKhaane Juloos O Majlisain (x2)

Ye Salaam o Marsiya Nauha Sada Abaad Rahe

5)

Parhke Quran Nok e Naiza Par Kaha Shabbir Ne (x2)

Hum Rahain Ya Na Rahain Zikr E Khuda Abaad Rahe


6)

Ahle Matam Zakhme Abid Yaad Rakhne Ke Liye (x2)

Matam E Zanjeer Ki Har Dum Sada Abaad Rahe

7)

Hain Wafadaare Sakina Jo Uthate Hain Alam (x2)

Ta Qayamat Unke Dil Me Ye Wafa Abaad Rahe

8)

Nauhakhwani Nauhagoyi Hai Ata Shabbir Ki (x2)

Mesum o Salman Per Bhi Ye Ata Abaad Rahe