Aankh Bhar Kar Jissay Dekha Howa Pathar Jaisa.

Keh Keh Yeh Hath Alamdar(AS) Ne Khud Rook Liya.
Hurmala Tere Kafi Hai Asghar(AS) Jaisa.

Teri Saqai Ka Ejaz Hai Abbas-e-Ali(AS).
Pani Milta Hai Sabeelon Pe Bhi Kausar Jaisa.

Koan Maidaan Mein Hai Siffeen Ke Ghazi(AS) Ya Ali(AS).
Kashmakash Mein Hai Khara Malik-e-Ashtar Jaisa.

Koi Kamzarf Ossay Bhi Na Khuda Keh De Kahin.
Ho Baho Chehra-e-Abbas(AS) Hai Haider(AS) Jaisa.

Ungliyon Par Hi Utha Leta Woh Kandhe Ki Jaga.
Mashk Ka Wazan Jo Hota Dar-e-Khaibar Jaisa.

Anbiya Bool Uthay Dekh Ke Abbas(AS) Ka Noor.
Sirf Haider(AS) Hi Bana Sakta Hai Haider(AS) Jaisa.

Lashkar-e-Shar Pe Nazar Daal Ke Ghazi(AS) Ne Kaha.
Haal Ho Ga Tera Firoon Ke Lashkar Jaisa.

Looh-e-Mehfooz Ke Bhi Bas Mein Nahi Hur(AS) Ki Qasam.
Likhte Hain Hazrat-e-Abbas(AS) Muqadar Jaisa.

Hai Habib Ibn-e-Muzahir(AS) Ko Likhe Khat Ka Karam.
Likhta Hai Midhat-e-Shabir(AS) Jo :AKBAR: Jaisa.