
Sayeda, Tahera..(8)
kul nazm e qaiyanat hai Zehra ke hath me..(2)
sher e khuda ka haath hai Zehra ke hath me
kul nazm e qaiyanat hai Zehra ke hath me..(2)
1. Allah ne mangali sare arsh rotiyan..(2)
koi to aaisi baat hai Zehra ke hath me
kul nazm e qaiyanat hai Zehra ke hath me..(2)
2. Jis dar se chal raha hai Zamane ka har nizam..(2)
us ki ma'ashiat hai Zehra ke hath me
kul nazm e qaiyanat hai Zehra ke hath me..(2)
3. Beti ko sath laae hai is waste rasool..(2)
najraniyon ki maat hai Zehra ke hath me
kul nazm e qaiyanat hai Zehra ke hath me..(2)
4. Malik hai jaise chahe yeh tabdiliyan kare..(2)
lau ho kalam dawaat hai Zehra ke hath me
kul nazm e qaiyanat hai Zehra ke hath me..(2)
5. Kehne lage hussain yeh rumaal band kar..(2)
jaa hur teri najaat hai Zehra ke hath me
kul nazm e qaiyanat hai Zehra ke hath me..(2)
6.Hathon me hath shabbar o shabbir ke nahi..(2)
islam ki hayaat hai Zehra ke hath me
kul nazm e qaiyanat hai Zehra ke hath me..(2)
7. Kaise mitae koi aza ki nishaniyan ..(2)
hifz e tabarrukat hai Zehra ke hath me
kul nazm e qaiyanat hai Zehra ke hath me..(2)
8. Tasbihe fatema ne takallum bata diya
har radd e mushkilat hai Zehra ke hath me
kul nazm e qaiyanat hai Zehra ke hath me..(2)
sayeda, tahera ..(2)
Social Plugin