Jab koi dua aur na dawa kaam karegi..(2)
Abbas ke parcham ki hawa kaam karegi

1. Aksar ye ali kehte the ghaazi ko uthakar..(2)
Zehra ki dua sab se juda kaam karegi

2. Ab chaand ka kya kaam raha ghar me ali ke..(2)
Maahe bani hashim ki ziya kaam karegi

3. Khud denge shehenshah e wafa usko salami..(2)
Kuch is tarah fizza ki wafa kaam karegi

4. Shabbir ke roze se kafan leke chala hu..(2)
Ab meri hifazat ka qaza kaam karegi

5. Fir bhi nahi utrega khadija tera qarza..(2)
Din raat bhi gar khalq e khuda kaam karegi

6. Shabbir ka sar hai ye kahi jhuk nahi sakta..(2)
Naize ki ani par bhi ana kaam karegi

7. Ye haaziri ye hazrat e abbas hai sajjad..(2)
Qismat se ziyada ye ghiza kaam karegi