
Main hi taskeene labe tishna dahan hota hoon
Kabhi darya kabhi aankhon se rawa hota hoon
Hain labe Asgare besheer ka ehsaan mujh par
Ho jahan majlis e Shabbir waha hota hoon
Main hoon paani Auno meri kahani...x2
Zindagi jisse rawa hain woh rawani main hoon
Pyaas ko jisse hain nisbat woh kahani main hoon
Be talab hoon talabe tishna dahani main hoon
Jab ye abaadi na thi tab se hi aabad hu main
Khud hain Quran gawah duniya ki buniyad hoon main
Main hoon paani..x2
Rahi har daur me masoomon se nisbat mujhko
Kar na paya koi paband shariat mujhko
Paak hoon aur taharat se hain ulfat mujhko
Khud sada deti rahi pyaas ne fitrat mujhko
Darde dil ke liye taskeen ka malham bankar
PAYE masoom se nikla hoon main zam zam bankar
Main hoon paani....x2
Mere qisse hain bohot meri kahani hain bohot
Barsare roo e zameen meri nishaani hain bohot
Khittae khushk hain kam dehr me paani hain bohot
Rabbe Akbar ne bada martaba bakhsha hain mujhe
Sayyada ke jo haqe mehr main rakkha hain mujhe
Main hoon paani ...x2
Main wuzu banke namazon ki ada tak pohoncha
Banke zam zam kabhi kaabe ki faza tak pohoncha
Main tha pakeeza so main rahe wila tak pohoncha
Yehi nisbat thi Jo main karbobala tak pohoncha
Do Moharram ko to alag the hi nazaare mere
Utre alfaaq ke malik jo kanare mere
Main hoon paani....x2
Roze Aashur main ek aur hi duniya main raha
Ashk bankar nigahe Sayyada Zehra main raha
Roshni banke kahi didae bina main raha
Auje kausain mila mashke Sakina main raha
Sare maidan e wiga maujeza dikhlata raha
Hukme Sheh hota toh khaimon main chala aata main
Main hoon paani....x2
Rubaru tha mera bemislo misaale chehra
Chehrae Hazrat e Abbas woh aali chehra
Hashmi chand ka chehra tha jamali chehra
Maine dekha tha jo gazi ka jalaali chehra
Khauf tab se hi mere dil se juda rehta hain
Bas usi din se mera rang uda rehta hain
Main hoon paani...x2
Aaya jab Saniye Karraar kanaare mere
Auj par pohonche muqaddar ke sitaare mere
Mashk me jaane ko betaab the dhaare mere
Sadqe khud pyaas ne aa aake utare mere
Roze Aashur yeh azmat bhi mili hain mujhko
Daste Abbas pe Maeraj hui hhain mujhko
Main hoon paani...x2
Log ab majlise Shabbir me late hain mujhe
Sadqa Shabbir ka pyaason ko Pilate hain mujhe
Matami Shah ke aankhon se lagate hain mujhe
Jab azadaar sabeelon me sajate hain mujhe
Zakhm e jaa saare hi seene ke liye aate hain
Ambiya bhi mujhe peene ke liye aate hain
Main hoon paani. ..x2
Yu mujhe sahebe zeeshan kiya pyaason ne
Dil e momin ka ek armaan kiya pyaason ne
Zaat par meri hi ehsaan kiya pyaason ne
Apni majlis ka mehmaan kiya pyaason ne
Mujhme taaseere dare Karbobala milti hain
Mujhko peele to farishton ko shifa milti hain
Main hoon paani... x2
Kya hain azmat meri aye duniya zara kar insaaf
Dhoke kar deta hoon har daag e nidamat ko saaf
Ek ajab kaam yeh karta hoon main fitrat ke khilaaf
Turbat e Hazrat e Abbas ka karta hoon tawaf
Mujhe yoon saya hain gazi ki alamdari ka
Laazmi hissa hoon main aaj azadari ka
Main hoon paani.....x2
Dil me ek noor ke didar ki hasrat lekar
Hoon rawa noor Ali main yeh taharat lekar
Dekh Farhan sharaf leke sharafat lekar
Main hi chalta hoon arizon ki amanat lekar
Rashk kyu kar na kare auj e suraiya mujh par
Baarwa aake bichaega musalla mujh par
Main hoon paani....x2.
Social Plugin