(Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon) x2

    Teri Qabr-e-Peh Amman(s.a.) Dard-e-Jigar Sunaaon
    Yeh Khoon Bhara Kurta Kaisay Tujhay Dikhaaon

    (Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon) x2
    Amman(s.a.) Yeh Aik Kurta Samaan Mein Bacha Hai

    Amman(s.a.) Meray Akhi Ka Kurta Lahoo Bhara Hai

    Marqad Mein Is Ko Rakh Lo Soghaat-e-Shaam Samjho

    Tum Is Ko Piyar Karlo Aankhon Say Mein Lagaaon

    (Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon) x2
    Amman(s.a.) Libaas-e-Kohna Manga Tha Jab Akhi Nay

    Amman(s.a.) Mujhay Tha Maara Us Waqt Zindagi Nay

    Mein To Samajh Gai Thi Marnay Chala Hai Bhai(a.s.)

    Woh Dastaan Sunakar Mein Khud Hi Mar Na Jaaon

    (Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon) x2
    Amman(s.a.) Tera Gulshan Karbobala Mein Ujrha

    Amman(s.a.) Tera Kunba Seh Roz Raha Piyasa

    Khaimay Jalay Hain Amman(s.a.) Looti Gaein Ridaen

    Main(s.a.) Dastaan Safar Ki Kia Kia Tujhay Bataon

    (Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon) x2
    Amman(s.a.) Meri Rida Ka Zamin Jo Eik Jari Tha

    Amman(s.a.) Woh Mera Bhaiyya(a.s.) Jo Aks-e-Haidery(a.s.) Tha

    Baazoo Qalam Tha Usk Ka Ghum Ko Bhi Ghum Tha Us Ka

    Us Khoon Bharay Alam Ko Palkon Peh Mein Uthaon

    (Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon) x2
    Amman(s.a.) Woh Shaam Walay Nana(s.a.w.w.) Kay Ummati Woh

    Amman(s.a.) Qasam Khuda Ki Thay Is Qadar Shaqi Woh

    Bachchon Peh Zulm Kar Kay Khushian Mana Rahay Thay

    Rahon Mein Marnay Walay Bachchay Kahan Say Laaon

    (Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon) x2
    Amman(s.a.) Tumhari Beti(s.a.) Woh Kaam Kar Kay Aai

    Amman(s.a.) Wahan Bhi Mein Nay Farsh-e-Aza Bichaai

    Kehtay Hain Jis Ko Zindaan Us Ki Zamin Thi Hairaan

    Khud Keh Keh Raha Tha Zindan Farsh-e-Aza Bichaaon

    (Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon) x2
    Amman(s.a.) Ridaen Sar Say Cheni Gaein Hamari

    Amman(s.a.) Safar Ki Khatir Be Parda Thi Amari

    Pathar Baras Rahay Thay Sar Say Lahoo Tha Jari

    Haal-e-Safar Sunakar Ab Kia Tumhein Rulaaon

    (Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon) x2
    Amman(s.a.) Mein Shaam Jakar Zinda Rahi Hoon Kaisay

    Amman(s.a.) Safar Ki Sakhti Zahir Hai Bazoon Say

    Bazoo Peh Jo Nishan Hain Soghat Hain Safar Ki

    Chehray Ki Gard Apnay Kis Tarha Say Chupaaon

    (Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon) x2
    Amman(s.a.) Main Thak Gai Hoon Seenay Say Ab Lagaalo

Amman(s.a.) Mujhay Khudara Pehloo Mein Tum Sulaalo

Tukhrhay Jigar Hai Mera Kaisa Safar Hai Mera

Tum Hi Bataao Amman(s.a.) Kab Tak Main Chalti Jaaon

(Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon) x2