
(Alqamah Alqamah) x2
(Aey Alqamah Ki Mojon Khamosh Kion Ho Bolo) x3
(Kya Raaz-e-Tashnagi Tha) x2 Kuch To Zuban Kholo
(Aey Alqamah Ki Mojon Khamosh Kion Ho Bolo) x2
Ghazi(a.s.) Kay Ghum Mein Bachchay Ro Rokay So Chukay Hain
Aankhon Mein Meri Aansoo Sab Khushk Hochukay Hain
(Abbas Kay Alam Say) x2 Tum Hi Lipat Kay Rolo
(Aey Alqamah Ki Mojon Khamosh Kion Ho Bolo) x2
Koozay Zamin Peh Rakhkar Be Aash Ho Chuki Hai
Yaani Sakina(s.a.) Ab To Pani Say Dar Rahi Hai
(Pani Kay Naam Say Bhi) x2 Darti Hai Ab Woh Dekho
(Aey Alqamah Ki Mojon Khamosh Kion Ho Bolo) x2
Baazoo Qalam Huey Hain Dariya Peh Jis Jari Kay
Saidaniyan(s.a.) Jamaa Hain Us Kay Alam Kay Neechay
(Mashk-e-Sakina Koi) x2 Is Alam Say Kholo
(Aey Alqamah Ki Mojon Khamosh Kion Ho Bolo) x2
Do Neem Hogai Hai Ghum Say Kamar Hamari
Kehtay Thay Shah-e-Waal Ghazi Main Tujh Peh Waari
(Hasrat Hai Yeh Humari) x2 Eik Baar Bhai Kehdo
(Aey Alqamah Ki Mojon Khamosh Kion Ho Bolo) x2
Zainab Pukarti Hain Meri Rida Ka Zamin
Dariya Peh Sogaya Hai Guzreingay Kis Tarha Din
(Aey Bibiyon Ab Apni) x2 Chadar Say Haath Dholo
(Aey Alqamah Ki Mojon Khamosh Kion Ho Bolo) x2
Har Soo Bapa Hai Matam Hardil Tarap Raha Hai
Eik Sher Alqamah Ki Godi Mein Soraha Hai
(Soya Hua Hai Thak Kar) x2 Ahistigi Say Bolo
(Aey Alqamah Ki Mojon Khamosh Kion Ho Bolo) x2
Kehta Tha Fazl Rokar Aey Meray Baba jaan
Rehnay Na Doonga Laasha Aada Kay Darmiyan
(Main Aaraha Hoon Baba) x2 Lillah Tum Na Roko
(Aey Alqamah Ki Mojon Khamosh Kion Ho Bolo) x2
Social Plugin