namaz e shab mein dua karte the Shabbir
ik phool si beti dey mujhe katib e taqdeer
Haay, Shabbir ko khaliq ney sakina jo ata ki
Zainab ki si surat thi sab us mah laqa ki
jis dam diya godi mein usey laker chacha ki
hathoun pa us ko ley kar ghazi ney dua di
rakhe tujhe aye laadli Allah salamat
dunya mein terey sar pa rahy shah salamat
Sakina Sakina
(Shah ki piyari Sakina laadli Abbas ki) x3
seerat-e-Zehra thi jis mein thi sakina wo kitab
god mein lete the ghazi aur kabhi Umme Rabab
seena-e-Shabbir par jo phool si khilti rahi
Zainab-o-Kulsoom key jo saye mein palti rahi
(Shah ki piyari Sakina laadli Abbas ki) x2
na kisi gham ka tasawwur tha na ranj-o-yaas ka
paya is bachi ney jhula bazu-e-Abbas ka
naksh tha us nazneen ke dil pe nam Abbas ka
youn samjh lo pehney rehti thi vo taveez-e-wafa
(Shah ki piyari Sakina laadli Abbas ki) x2
naz uthathi thi sakina ke sabhi shehzadiyan
kisa-e-khaiber suna kar deti thi maa loriyan
zanu-e-mader pe takiya tha kabhi taqdeer par
Cheyn sey sooti thi shab ko seena-e-Shabbir par
(Shah ki piyari Sakina laadli Abbas ki) x2
Dekhti hi dekhti wo do baras ki hogayi
bachiyo(n) sey khilney ki umr hoti hai yahi
Khelti thi ghar key angan mein kabhi Sughra ke saath
Ghumney jati kabhi Akber kabhi baba key saath
(Shah ki piyari Sakina laadli Abbas ki) x2
Khelke doran lagti thi Sakina ko jo piyas
door key jati thi bachi us ghari amu ke paas
haye kya din the keh pani manga ur pani mila
ur ik vo waqt piyasi thi sar-e-karbobala
(Shah ki piyari Sakina laadli Abbas ki) x2
Algharaz behr-e-safer jab ghar sey nikle shah-e-deen
rah mein kitni aziyat sehgayi wo nazneen
dasht mein piyasi rahi aur baap ki furkat sahi
qayd ho kar phir wo bachi sham ke zinda(n) gayi
(Shah ki piyari Sakina laadli Abbas ki) x2
umr se baqi jo din the wo guzarey qayd mei
kal talak aabad tha ghar ab hai sare qayd mei
qayd khane ke masaib qalb par sehti rahi
haye baba haye baba raat din kehti rahi
(Shah ki piyari Sakina laadli Abbas ki) x2
mar dala qayd khaney ney usey uftad ney
qabr mei us ko utara sayyad-e-sajad ney
roza-e-bali Sakina par jo "mazhar abidi"
jayega "farhan" lab par hoga noha bas yehei
(Shah ki piyari Sakina laadli Abbas ki) x2
Social Plugin