
sham e ghareba aag ka manzar
aaye najaf sey fateh e kheber
ujri huwi Zainab ne dekha
Rote huwe jab bap ka chehra
maqtal mein gunja Zainab ka noha
(ay merey baba haye merey baba) x2
kya kya masaib tooty hein mujhe par
batla raha hei ye khuni manzar
ik din mein ujra mera bhara ghar
na rahe bhayi na koi beta
(ay merey baba haye merey baba) x2
ye karbala hei ya khuni jangal
dekho to baba tum suw-e-maqtal
sab key lahu sey bhiga hei anchal
sarey azeezoun ka gham uthaya
(ay merey baba haye merey baba) x2
dekh sako to ye dekho baba
bikhra huwa hai qasim ka sehra
he tukrey tukrey dulha ka lasha
dil ko sambhaley rooti hai farva
(ay merey baba haye merey baba) x2
bhuley ga kese ye qalb mera
ghazi ke shaney Akber ka seena
Bano ka noha Asghar ka jhula
dil mein hei merey ye dagh kesa
(ay merey baba haye merey baba) x2
pala tha jis ko ma ban key mene
chida kaleja us ka sina ney
suno zara noha us ki maa sey
Laila ka dil bhi gham sey chida tha
(ay merey baba haye merey baba) x2
kia tum ney baba deikhi tarayi
bazu burida hei mera bhayi
baad us key ham pe uftad aayi
tha us key dam sey parda hamara
(ay merey baba haye merey baba) x2
abid ko sholo sey bhi nikala
deiti thi bachoun ko mein sahara
Ehl-e-haram ko mein ney sambhala
tanha diya hei khaimo(n) ke pehra
(ay merey baba haye merey baba) x2
ye merey ansu kehte hai(n) baba
is tarha roney sey kia miley ga
jesey bhi ho ab jeena parey ga
zindagi bhar ka gham mein ney paya
(ay merey baba haye merey baba) x2
"farhan-o-mazhar" kaisa tha manzar
baap key qadmo(n) sey wo lipat kar
kehti thi Zainab tera luta ghar
waqt-e-madad tha koi na aaya..
(ay merey baba haye merey baba) x2
(maqtal mein gunja Zainab ka noha) x3
Social Plugin