(Haye bazaare Shaam Mera bekas Imaam) x4

    (Ek ye hi baat sajjad ko khaa gayi) x2 Sar khule haaye Zainab kaha aagayi

    (Haye bazaare shaam mera bekas imam) x2
    (Tok ke boj se sar nahi tha jhuka) x2 (Wajh sharmindagi ek yahi dard tha) x3 Majmaye ashkiya mei phuphi aagayi

    (Haye bazaare shaam mera bekas imam) x2
    (Tap raha tha badan aur zanjeer bhi) x2 (Be rida ma phuphi aur hamsheer bhi) x3 Soch te the na kyu kar kaza aagayi

    (Haye bazaare shaam mera bekas imam) x2
    (Bibiyon ke gale reesmah se bandhe) x2 (Gard aalood balo se chehre chupe) x3 Shaam tak is tarha binte Zehra gayi

    (Haye bazaare shaam mera bekas imam) x2
    (Waarison ke janazon pe roye nahi) x2 (Asr-e-aashur ke baad soye nahi) x3 Nind ruksat huwi aankh thakra gayi

    (Haye bazaare shaam mera bekas imam) x2

     
    (Ek to zindaan us par andhera baha) x2 (Aur faryaad karne pe pehra bahot) x3 Maut bhi is andhere se ghabhra gayi

    (Haye bazaare shaam mera bekas imam) x2
    (So gayi kayd khane me who gamzadah) x2 (Jiska shaame ghariba me daaman jalaa) x3 Kayd khaneki us ko zameen khagayi

    (Haye bazaare shaam mera bekas imam) x2
    (Kayse dafnaye jakre hay zanjeer me) x2 (Dard likhi hay kya sirf takdeer me) x3 Dafn karne Sakina ko maa aagayi

    (Haye bazaare shaam mera bekas imam) x2
    (Dard Rehan sajjad ke mei likhu) x2 (Ha mahe jaanse mere tapak to hay khun) x3 Ruhe girta se is gham se tharraagayi

(Haye bazaare shaam mera bekas imam) x2