
(Ghazi Abbas ko deke dee(n) ka alam) x2
Bole sibt-e-nabi mera ik kaam kar
Mere bazu alamdar-e-shaah-e-wafa
Ay ghani-o-sakhi mera ik kaam kar
Ay khuda-e-wafa sayyeada ki dua
Jurraton ke wali mera ik kaam kar
Ay sabke wali ay meri zindagi
Misle naade Ali mera ik kaam kar
Chahta hai ye Shabbir bhai mere
Aaj tak tera jaaho Hasham dekhle
Is tarah shamiyon se tu kar guftagoo
Lahjaye haidery ka bharam dekhle
Ab ye parda utha inko jaake bata
Azme Shabbir azme Hussaini hai kya
Hum muhafiz hai Quran-o-islam ke
Kis liye aaya hai bar sare Karbala
Bol aise ke khaliq ko kehna pare
Zate haider ke aqqas kya baat hai
Aaj nehje balagha ka khaliq kahe
(Wah mere laal Abbas kya baat hai) x2
Zaate Haider ke aqqas kya baat hai
(Mere ghazi jari teri kya baat hai) x2
(Baat aqa ki ghazi ne jis dam suni) x2
Daftan sher ne ek angraee li
Shaam ki fauji mein mach gayi khalbali
Log kehne lage aa gayi kya Ali
(Aur roohe Ali muskurane lagi) x2
Wah mere laal Abbas kya baat hai
(Mere ghazi jari tere kya baat hai) x2
Bole Abbas ye lashkare shaam se
Wo jo waqif nahi hai mere naam se
Ba khabar wo nahi apne anjaam se
Munsalik mei bhi hu(n) unke paighaam se
(Yu(n) nawaza mujhe sheh ne inaam se) x2
Wah mere laal Abbas kya baat hai
(Mere ghazi jari tere kya baat hai) x2
Mei bataawu tumhe kon shabbir hai
Aqse islam Quran ki tafseer hai
Khuld baagh-e-iram uski jageer hai
Uske qadmo(n) tale hur ki taqdeer hai
(Mere baare mei uski ye taqreer hai) x2
Wah mere laal Abbas kya baat hai
(Mere ghazi jari tere kya baat hai) x2
Ye ghulaami ye sheh ka sharaf hai mila
Malkae khuld ne mujh ko beta kaha
Naam Abbas Zainab ne mera rakha
Jhula Shabbir ne hai jhulaya mera
(Phir Hassan ne gale se laga kar kaha) x2
Wah mere laal Abbas kya baat hai
(Mere ghazi jari tere kya baat hai) x2
Pyaas bacho(n) ki laayi yaha tak mujhe
Mashk ek bhar ke le jaawunga neher se
Mere aaqa ne roka laraayi se hai
Warna roke mujhe hosla hai kise
(Mei hu betab sunlo yahi ek sada) x2
Wah mere laal Abbas kya baat hai
(Mere ghazi jari tere kya baat hai) x2
Jab mukammal huwa zindagi ka safar
Bola shabbir se bawafa nehr par
Apne pairo(n) pe rakh lijiye mera sar
Khush ho ummul banee(n) jab sune ye khabar
(Mere bete se Shabbir ne keh diya) x2
Wah mere laal Abbas kya baat hai
(Mere ghazi jari tere kya baat hai) x2
Haay "Rehan-o-Sarwar" ajab waqt tha
Hoke be dast jab mera ghazi ghira
Bawafa ka alam khu(n) mei tar hogaya
Ruh-e-zehra pukaari sar-e-karbala
(Tune saqqayi ka haq ada kar diya) x2
Wah mere laal Abbas kya baat hai
(Mere ghazi jari tere kya baat hai) x2
Social Plugin