Haay asr ka waqt hai
Shabbir ki aati hai sada
Chur zakhmo se badan hogaya ama mera
Apani agosh me ab mujko chupalo ama
Are dhoop hai apni aba aan ke dalo ama
1. (Garm reti pa me gir ta hu sambhalo ama)x2
2. Thak gayaa lash utha kar me bhare lashkar ki
Laash qasim ki me laya hu kabhi akber ki
Khud baniyi he lahad me ne ali asger
Do tasali muje sine se lagalo ama
Garm reti……………
3. Teer talwar se, khanjar se badan zakhmi hai
Khaak jalti hai to zakhmo chubhan hoti hai
Mere zakhmo se mere dil ka lahu jari hai
Apni chadar ko mere zakhm pe dalo ama
Garm reti……………..
4. Mera abbas khafa hogaya amma moojse
Wo nahi aaya utha laya tha bazu uske
Aap ek kaam kare nehre kanare jaake
Mere ruthe huwe bhayi ko manaalo ama
Garm reti…………….
5. Chakiya pisi hai godi me bithakar mujko
Jaag ti rehti thi zaanu pe sula kar mujko
Loriya detithi Jule me jula kar mujko
Ek dafa god me phir apni sulalo ama
Garm reti……………..
6. Aur kuch der ka mehmaan hu tum paas raho
Ret zakhmo me hai aachal se usey saaf karo
Aati hai rone ki aawaz sakina dekho
Jaawo tum jaake sakina ko sambhalo ama
Garm reti……………..
7. Dekh wo aag lagi shame ghariba aayi
Dekho gabra ke nikal aayi meri ma jaayi
Dekho behoosh sakina ka para hai bhayi
Jawo sajad ko sholo se nikalo ama
Garm reti……………..
8. Hai ghuzarish meri tumse abitni madar
Ama baba ki kasam dhamp lo moo par chadar
Dekh jayenga na ab tumse ye khooni manzar
Apni hota ho nighaho ko hataalo ama
Garm reti………………
Social Plugin