Zindane Shaam me jaha, bibi ka hai mazar

Raato ko dhimi dhimi si aati hai ek pukar

Kano se mere khoon x2

Abhi bhi tapakta hai, amma baar baar x3

Amma baar baar gala mera dookhta hai amma baar baar

Uthti hai jab bhi aap x2

Mera saas rukta hai, amma baar baar

Haa, amma baar baar……….

Soyi nahi hoo shaame gariba ke baad main

Ab kya jiungi shaam ke zindan ke baad main

Be aas ab hoon shahe shahida ke baad main

Saya azal ka amma mere sath chalta hai

Amma baar baar…………….

Kano ka khoon aankhon ke aansu se mil gaya

Har zakhm phool banke badan par hai khil gaya

Baba ko dhoond laoon ke seenese dil gaya

Be jaan mere jism main kyun dil dharakta hai

Amma baar baar……….


Ay amma jab se baba se main door ho gayi

Ye zindagi mere liye naasoor ho gayi

Paar kya karoon naseeb se majboor ho gayi

Hijre padar se seene me ek dard uthta hai

Amma baar baar……………..

Kante pare hai halq main ay amma pyaas se

Darti hoon jhonka guzre hawa ka jo paas se

Neend urgayi hai aankhon se khawfo hiras se

Rone pe mere shimr layeen kyun jhirakta hai

Amma baar baar………………

Asgar ke bad paan piyoo main nahi nahi

Ammu ke baad zinda rahoon main nahi nahi

Fariyaad kuch shaki se karoon main nahi nahi

Paan main ab se chehraye asgar jhalakta hai

Amma baar baar…………………..

Lagta hai qaid jan se rihayi qarib hai

Ai amma jano tum se rihayi qarib hai

Ab mout mujhko kabr ke laayi qarib hai

Daman to jal chuka hai mera dil sulagta hai

Amma baar baar…………..

Kounain mai ye kaisa hai qanoon poochiye

Marne ke baad mujhko rihayi nahin mile

Ye kaisi qaid hai ke lahad bhi yahin bane

Qaidi kabhi to qaid se ghar ko palat ta hai

Amma baar baar………………….

Amma rehai paake watan tum to jaaongi

Sugra meri bahan ko gale se lagaaongi

Puchengi jab mujhe to use kya batawoongi

Reh reh ke ek sawal mere dil mai uthta hai

Amma baar baar……………….