Lyrics

Aye Ahle Haram....(2)

Aye Ahle Haram Meru Alamdar (A.s.) Na Aaya....(2)
Alamdar (A.s.) Na Aaya....(2)
Aye Ahle Haram Meru Alamdar (A.s.) Na Aaya....(2)
Alamdar (A.s.) Na Aaya....(2)

Sakka-E-Hussain Sayyed-O-Salar Na Aaya....(2)
Alamdar (A.s.) Na Aaya....(2)
Aye Ahle Haram Miru Alamdar (A.s.) Na Aaya....(2)
Alamdar (A.s.) Na Aaya....(2)

Hussain(A.s.)....(1)

Maula Ki Qamar Tuti, Jis Dam Yeh Khabar Aayi
Mara Gaya Darya Par Shabbir Ka Shaidayi,
Khoon Bhar Gaya Aakho Me, Jaati Rahi Binaaii
Maktal Se Sakina (A.s.)Ka Woh Ghamkhwar Na Aaya....
Sakka-E-Hussain (A.s.) Sayyed-O-Salar Na Aaya....(2)

Alamdar (A.s.) Na Aaya.... (2)
Aye Ahle Haram Miru Alamdar (A.s.) Na Aaya....(2)
Alamdar (A.s.) Na Aaya.... (2)
Hussain(A.s.)....(1)

Jab Khoon Me Tar Aaya Abbas (A.s.)Ka Woh Parcham
Tapti Hui Reti Par Atfal Ke Sab Be Dam
Sarwar (A.s.) Ne Kiya Nauha, Zainab (S.a.) Ne Kiya Matam
Chilaye Haram Gazi-O-Jarrar Na Aaya....
Sakka-E-Hussain (A.s.)Sayyed-O-Salar Na Aaya....(2)
Alamdar (A.s.) Na Aaya.... (2)
Aye Ahle Haram Miru Alamdar (A.s.) Na Aaya....(2)
Alamdar (A.s.) Na Aaya.... (2) Hussain....(1)

Hussain(A.s.)....(1)



Hukm-E-Shah-E-Wala Par Darya Ko Utha Lata.
Kya Karta Bhala Gazi Mehroom-E-Ijazat Tha.
Koshish Toh Bohot Ki Par Lakhon Me Ghira Tanha.
Jab Mashk Chidi Phir Woh Wafadar Na Aaya....
Sakka-E-Hussain (A.s.) Sayyed-O-Salar Na Aaya....(2)
Alamdar (A.s.) Na Aaya.... (2)
Aye Ahle Haram Miru Alamdar (A.s.) Na Aaya....(2)
Alamdar (A.s.) Na Aaya.... (2)

Hussain(A.s.)....(1)

Zehra (S.a.)Ke Gharane Ka Woh Zamin-E-Chadar Tha.
Maslat Me Thi Sakkai Kirdar Me Haider (A.s.)Tha.
Jis Waqt Kate Bazu Gazi Ke Bahe Aansu
Lene Gaye Maula Woh Dilafgaar Na Aaya....
Sakka-E-Hussain Sayyed-O-Salar Na Aaya....(2)
Alamdar (A.s.) Na Aaya.... (2)
Aye Ahle Haram Miru Alamdar (A.s.) Na Aaya....(2)
Alamdar (A.s.) Na Aaya.... (2)

Hussain (A.s.)....(1)

Baccho Ki Sadae Thi Abbas (A.s.)Chacha Paani.
Ek Mashk Lahoo Dekar Ek Mashk Bhara Paani.
Us Mashk-E-Sakina (S.a.)Se Jis Waqt Baha Paani
Woh Mar Gaya Darya Pe Hayadar Na Aaya....
Sakka-E-Hussain Sayyed-O-Salar Na Aaya....(2)
Alamdar (A.s.) Na Aaya.... (2)
Aye Ahle Haram Miru Alamdar (A.s.) Na Aaya....(2)
Alamdar (A.s.) Na Aaya.... (2)

Hussain (A.s.)....(1)

Woh Sher-E-Dilawar Tha Tanha Bhi Jo Lashkar Tha.
Afsos Labe-E-Darya Ek Lasha-E-Besar Tha.
Halmin Ki Sada Sunta Rota Tha Tadap Ta Tha.
Shabbir Ka Sheda Woh Madadgaar Na Aaya....
Sakka-E-Hussain Sayyed-O-Salar Na Aaya....(2)
Alamdar (A.s.) Na Aaya.... (2)
Aye Ahle Haram Miru Alamdar (A.s.) Na Aaya....(2)
Alamdar (A.s.) Na Aaya.... (2)

Hussain (A.s.)....(1)

Jalte Hue Khaimo Se Zainab (S.a.)Ki Sada Aayi.
Aye Baba Ali (A.s) Dekho Beti Ki Yeh Tanhaai.
Yeh Mashk-O-Alam Aaya, Aaya Na Mera Bhai.
Baba Mere Kunbe Ka Tarafdaar Na Aaya....
Sakka-E-Hussain Sayyed-O-Salar Na Aaya....(2)
Alamdar (A.s.) Na Aaya.... (2)
Aye Ahle Haram Miru Alamdar (A.s.) Na Aaya....(2)
Alamdar (A.s.) Na Aaya.... (2)

Hussain (A.s.)....(1)

Rehan Se Sarwar Se Who Dard Bayan Kaise.
Jis Sher Ki Dharas Par Aabad Rahe Khaime.
Jalte Hue Khaimo Se Ghabrake Jo Zainab (S.a.)Ne
Kitni Bhi Sadae Di Woh Ek Baar Na Aaya....
Sakka-E-Hussain Sayyed-O-Salar Na Aaya....(2)
Alamdar (A.s.) Na Aaya.... (2)

Hussain (A.s.)....(1)