(Kaarwaan) x6
Yasrab se suwe karbala
ik karwaan rukhsat huwa
Sar pe alam saaya fighan
Ghazi ki aati hai sada
Pehla safar zainab ka hai
Sunsaan kardo raasta
[(Kaarewaan) x2 Abbas meer-e-karwaan] x2
Kya shaan he kya dab daba
Kya log hein quraanuma
Salle ala sale ala ayaat ka he qaafla
Mashko alam inka nishaan
Abbas meere karwaan
[(Kaarewaan) x2 Abbas meer-e-karwaan] x2
Allah ke pyaare hein ye
Aale nabi saare hein ye
Quran ke pare hein ye
Kaunain ke tare hein ye
Zere qadam he asmaan
Abbas meere karwaan
[(Kaarewaan) x2 Abbas meer-e-karwaan] x2
Koi shabih-e-Mustafa
Koi hasan ka dilruba
Hai koi aks-e-sayyeda
Shabbir ka ye qaafila
Thaame alam jo hai jawaan
Abbas meere karwaan
[(Kaarewaan) x2 Abbas meer-e-karwaan] x2
Yasrib se taba karbala
Har din tawaafe kaafila
Abbas karta hi raha
Parde ka zimmedaar tha
Yun mutmain thi bibiyaan
Abbas meere karwaan
[(Kaarewaan) x2 Abbas meer-e-karwaan] x2
Abbas woh kirdaar he
Baade ali salaar hai
Aysa alam bardaar hai
Maydan mein be talwar he
Phir bhi alam ka paasbaan
Abbas meere karwaan
[(Kaarewaan) x2 Abbas meer-e-karwaan] x2
Lo agaya uska alam
Ghazi jise kehte hein hum
Kehte chalo ye dambadam
Abbas meer-e-lashkaram
Babul hawaaij mehrabaan
Abbas meere karwaan
[(Kaarewaan) x2 Abbas meer-e-karwaan] x2
Jab shaam pohoncha qafla
Khutba ye zainab ne diya
Sunle ye qaum-e-ashkiya
Hum hein bina-e-lailaah
Kashti he dee(n) hum baadbaa(n)
Abbas meere karwaan
[(Kaarewaan) x2 Abbas meer-e-karwaan] x2
Tha hashr mein mola ali
Ye "sarwar-o-rehan" bhi
Nazre karam se aapki
Rakhte hein ummeed-e-qawi
Nawhon se denge ye bayaan
Abbas meere karwaan
[(Kaarewaan) x2 Abbas meer-e-karwaan] x2
Social Plugin