Jab Khatima ba qaid huwa foje shah ka
Kausar pe qaafila gaya pyaasi sipaah ka
Ghar luta gaya janaab-e-risaalat panaah ka
Khaak urh rahi thi haal ka ye baargaah ka
Haaye maqtal mein aayi Fatima Zehra barehna sar
Chillayi Zere tegh hai baba mera jigar
Areh unnis saw hein zakhm tan-e-Chak chak par
Areh Zainab nikal Hussain tarapta hai khaak par
Haayi Pohonchi behan jo bhai ke maqtal mein nawhaghar
Dekha sar-e-hussain he neze ki nok par
Are Sadqe gayi luta gaye ghar wadagah mein
Haaye junbish labon ko he abhi zikre Ilaah mein
(Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura) x2 Mein noke sina par hun
Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura
(Nana dekho nawaasa kahaan aagaya) x2
Meine karbobala ko mu'allah kiya
Khoon mera aaj khaak-e-shifa ban gaya
Meine bachpan ka waada wafa kardiya
Mera waada huwa pura
Mein noke sina par hun, Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura
Mera ghar mere bachhe meri zindagi
aap ke deen pe sab meine qurbaan ki
Mere maathe pe woh tha do ab aakhri
Bar sare noke neza sawaari chali
Mera waada huwa pura
Mein noke sina par hun, Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura
Deeno qura(n) bache tera kaaba bacha
Ta qayamat rahegi azaan ki sada
Madressa bangayi aaj se karbala
Haaye nana magar mera ghar na raha
Mera waada huwa pura
Mein noke sina par hun, Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura
Chakkiyan peesne waali maa ki qasam
Meri aaghosh mein tora akbar ne dam
Kaise laashe jawaan laaya suwe haram
Apne wade pe kehta raha gham pe gham
Mera waada huwa pura
Mein noke sina par hun, Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura
Kitne laashe uthaaye hein ik roz mein
Kitne aansun bahaaye hein ik roz mein
Sekro(n) teer khaaye hein ik roz mein
Saare wade nibhaaye hein ik roz mein
Mera waada huwa pura
Mein noke sina par hun, Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura
Bhai bat-tees barson se jo saath tha
Meine waada nibhaane mein woh khodiya
Khaagayi uske shaano(n) ko ye alqama
Woh gaya aur darde kamar degaya
Mera waada huwa pura
Mein noke sina par hun, Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura
Mere nana ye dulha ye kamsin jawaan
Aise ronda gaya dasht mein al amaan
Apne bete ko pehchan paayi na maan
Uski dulhan ne khud tordi churiyaan
Mera waada huwa pura
Mein noke sina par hun, Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura
Haan woh Asghar jo Sughra ki thi zindagi
Jis ki khaatir woh bimaar bachhi meri
Chhote chhote se kurte jo seeti rahi
Uska khun apne chehre pe malke abhi
Mera waada huwa pura
Mein noke sina par hun, Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura
Mere nana Sakina ka gham dekhiye
Umr itni si itne sitam dekhiye
Jalti reti pe uske qadam dekhiye
Kitne majboor hein aaj hum dekhiye
Mera waada huwa pura
Mein noke sina par hun, Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura
Shaam "Rehan-o-Sarwar" jo dhalne lagi
Sar se Shabbir ke ye saada aati thi
Ay behen ab yahaan se qayaadat teri
Mere wade ki khaatir zuroori huwi
Mera waada huwa pura
Mein noke sina par hun, Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa puri
Mei noke sina par hun
Social Plugin