Teri kya baat hai-4
Sun ke ZAINAB ke khutbaat darbar me bole SHAH E ZAMAN
teri kya baat hai-2

Laaj rakhli hai tune bade Bhai ki,
Meri choti behen, Teri kya baat hai.
Sun ke ZAINAB ke khutbaat.
1) Theek se koi leta na naam e KHUDA,
gar na hoti bapa deher me Karbala,
Aur zinda rakhi tune woh Karbala,
Bint e khaibar shikan Teri kya baat hai.
Sun ke ZAINAB ke khutbaat.

2) Ghair ke zikr par tilmilata hai tu,
Zikr E HAIDER pe bas muskurata hai tu,
Dhyan rakhta hai tu mere jazbat ka,
Mere Maulai man Teri kya baat hai.
Sun ke ZAINAB ke khutbaat.

3) Aasmano se utri hai meri tarha,
Teri khilqat bhi noori hai meri tarha,
FATEMA-3 ne kaha zulfiqar e ALI
Meri choti behen Teri kya baat hai
Sun ke ZAINAB ke khutbaat.

4) Tujhko aakar salami sitare ne Di,
Teri jaisi kisi ki na shadi hui,
Aqd tera KHUDA ne padha arsh par
MURTUZA ki dulhan Teri kya baat hai.

5) (yun bhi mehboob rakhte hain tujhko NABI,
tune pehli gawahi wilayat ki di,)-2
Tujhko hasil hai heero'n pe youn bartari,
Ay aqeeq E Yemen Teri kya baat hai
Sun ke ZAINAB ke khutbaat.

6) (apne shauhar ko Marne se roka nahi,
kis tarha se jiyungi ye socha nahi,)-2
Teri himmat tere hausle ko salaam,
Ay wahab ki dulhan Teri kya baat hai.
Sun ke ZAINAB ke khutbaat.

7) (aisa be lafz ASGHAR ne khutbaa dia,
Jiski haibat se maida'n larazne laha)-2
Mir Sajjad KHALIQ ki aayi sada,
Ay KHUDA e sukhan Teri kya baat hai.
Teri kya baat hai.