ya ali moosa raza ..(8)
aye toos ke waali ..(2)
phir banke bikhaari ..(2)
chaukhat pe tumhaari ..(2)
aaya hai sawaaliii

hai shaah e khorasaan ka rauza ..... mere aagey ..(5)
mai peechey hoon,
mai peechey hoon sajdey mey hai Kaaba..... merey aagey
hai shaah e khorasaan ka rauza ..... mere aagey ..(2)

1) Mai naam e reza lekey nikaltaa hoon jo ghar se ..(2)
khud maut diya karti hai pehraa ..... merey aagey
hai shaah e khorasaan ka rauza ..... mere aagey ..(2)

2) jaaraub kashey hazrat e Maasooma e Qum ho ..(2)
jibreel zara sochke aana ..... merey aagey
hai shaah e khorasaan ka rauza ..... mere aagey ..(2)

3) Moosa na jise dekhsake toor pe jaakar ..(2)
hai toos ki waadii me wo jalwaa ..... merey aagey
hai shaah e khorasaan ka rauza ..... mere aagey ..(2)

4) Mash'had me bass is haath ko phailaaya tha ek baar ..(2)
phailaata hai ab haath zaamana ..... merey aagey
hai shaah e khorasaan ka rauza ..... mere aagey ..(2)

5) Saamit hai wo tu bolta Qur'an hai Maula ..(2)
Qur'an se hai badhkar tera kehnaa ..... merey aagey
hai shaah e khorasaan ka rauza ..... mere aagey ..(2)

6) Jab shehn e shifaa me mai shifaa maang rahaa tha ..(2)
kaasaa liye haatho me the Isa ..... merey aagey
hai shaah e khorasaan ka rauza ..... mere aagey ..(2)

7) Tauheed ka sajdaa ho ke taazeem ka sajdaa ..(2)
dono ki kabhi radd nahi karnaa ..... merey aagey
hai shaah e khorasaan ka rauza ..... mere aagey ..(2)

8) Badh 'jaawoonga aage mai bohat hadd e adab se ..(2)
maamoon ka tum zikr na karnaa ..... merey aagey
aye zaamin e aahoo ..(6)

9) Aye mir Hasan hashr ke din saath chalega ..(2)
ye zaamin e aahoo ka qasidaa ..... merey aagey
hai shaah e khorasaan ka rauza ..... mere aagey ..(2)