(Haaye Sajjad, Haaye Bimaar) x3

Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta

    (aankhon se lahu meri) x2 ik pal bhi nahi rukta

    Ye khun jo behta hai, is pak ka matam hai, mujhe touk aur beri ke, gham se bhi sawa gham hai, (maa behne phuphi aayi) x2 baazaar mei be parda

    Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta
    Bas mere kaleje pe, us waqt qazaa utri, naamu se mohammed ki, jis waqt ridaa utri, (baazaar mei aaya hai) x2 zindaan ye mera laashaa

    Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta
    Tatheer ke parwardaa, ummat ne phiraaye hai, us bibi ko logon ne, darbaar dikhaaye hai, (jis bibi ka baba ne) x2 chehra bhi nahi dekha

    Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta
    Jab ehle sitam ham par, barsaane lage pathar, kya jaane kya guzri, us waqt mere dil par, (jab maa ne kahaa mujhse) x2 tum koun ho ai betaa

    Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta
    Lachaar behen meri, sehme huwe rehti thi, maasum sakina ye, har mour pe kehti thi, (kya dafn huwe honge) x2 karbal mei mere baba

    Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta
    Abbas ko mehshar tak, ye dard rulaaega, zainab ke khule sar ko, woh dekh na paaega, (ghairat ke khuda ka sar) x2 neze pe nahi rukta

    Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta
    Akber ka hasin chehra, jo dekhte rehte hai, sab kufiyon shami bhi, roro ke ye kehte hai, (is husn ke paikar ki) x2 ab tak hai maa zindaa

    Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta
    Maa behne khule sar hai, raahon mei tamashaai, aulaade mohammed ko, taqdeer kahaan laayi, (paa bande silaasil hun) x2 kaanton se bhara rasta

    Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta
    Tera hi kalam maula, teri hi zabaan maula, farhaan aur shoukat ki, aukaat kahaan maula, (tauheed bhi karti hai) x2 har waqt tera giryaa