(Haae Zainab) x3 Haae Madina

(Are logo, ab khaak urhaao) x3

    Pardes se lut kar aaya, shabbir ka kunbaa saara

    (Are logo, ab khaak urhaao) x2
    Jo mera Hussein tha logo, jo yasrab ka tha ujala, pardes bulaa kar usko, (aada ne maar hi daala) x2 khaime se mei chillayi, pyaasa hai mera bhai

    (Are logo, ab khaak urhaao) x2
    Aabaad kabhi hota tha, ab hai wiraan madina, naa mei asghar ko laai, (na aayi saath sakina) x2 ik dashte bala ko dhaaya, ek ne hai shaam basaaya

    (Are logo, ab khaak urhaao) x2
    Lo akber ki bhi sunlo, usne taqdeer rulaadi, shabbir ke haath pe usne (karli hai mout se shaadi) x2 uski baatein howengi, sabki behne rowengi

    (Are logo, ab khaak urhaao) x2
    Us waqt ghazab mei aayi, kehte hai aap karimi, jab khaak par khun mei tarpi, (qaasim ki paak yatimi) x2 kuch shah khaimon mei laaye, kuch ab tak dund na paae

    (Are logo, ab khaak urhaao) x2
    Us dasht mei kufi shaami, kehte the koun mohammed, shabbir pe sadqa karke, (bheje hai aun mohammed) x2 na mei ab tak soyi hun, na bachon ko royi hun

    (Are logo, ab khaak urhaao) x2
    Shoukat farhaan bataado, sab gham ke baab sunaado, zainab chillayi mujhko, (bas maa ki qabr dikhaado) x2 kab shehr mei reh paaungi, mei shaam chali jaaungi

(Are logo, ab khaak urhaao) x2