Bayat ka sawal aaya jo paish-e-SHAH-E-DILGEER(a.s.)
nazdeek huwi khuwab say jab khuwab ki ta'abeer
lagnay lagin jab daao peh kul NABIYON(a.s.) Ki tauqeer
Bolay najis-e-dehar(l.a.) say yoo'n HAZRAT-E-SHABBIR(a.s.)
Gharat kabhi TOHEED-O-RISALAT na karay ga
Mujh jaisa teray jaisay ki BAYAT na karay ga

Mujh jaisa teray jaisay ki BAYAT na karay ga
Tu Yazeed-e-Azali(l.a.) hai MAIN HUSSAIN(a.s.) IBN-E-ALI(a.s.) HOO'N

Tu(l.a.) Kon Hai MAIN(a.s.) Kon Hoo'n sun aaey sitam afgaar
Tu(l.a.) deen ka munkir hai MAIN(a.s.) Islam ki dastaar
Tu(l.a.) Khaak ka putla hai to MAIN(a.s.) Markaz-e-Anwaar
Tu(l.a) Bhool anasir ki hai main Khalq ka shahkaar
Gum kardah nasab Tu(l.a.) hai to MAIN(a.s.) Raah-e-Khabar Hoo'n
Marjana(l.a.) ki Tu(l.a.) bhool MAIN(a.s.) ZEHRA(s.a.) Ka Pisar hoo'n

Mujh jaisa teray jaisay ki BAYAT na karay ga
Tu Yazeed-e-Azali(l.a.) hai MAIN HUSSAIN(a.s.) IBN-E-ALI(a.s.) HOO'N

Tu(l.a.) Shaam ki Tareeki hai main Noor-e-Mubee'n Hoo'n 
Tu(l.a.) Sang-e-Saqeefa hai main Ka'abay ka Nagee'n Hoo'n
Tu(l.a.) Takht peh baitha hai to Main(a.s.) Arsh Nashee'n Hoo'n
Shaitaa'n(l.a.) Ka Maka'n Tu(l.a.) Hai MAIN(a.s.) Jannat Ka Makee'n Hoo'n
Tu(l.a.) Rijz sarapa hai Main Khaliq ka wali Hoo'n
Tu(l.a.) Nasl-e-Umaiyya(l.a.), MAIN HUSSAIN(a.s.) IBN-E-ALI(a.s.) Hoo'n

Mujh jaisa teray jaisay ki BAYAT na karay ga
Tu Yazeed-e-Azali(l.a.) hai MAIN HUSSAIN(a.s.) IBN-E-ALI(a.s.) HOO'N

MAIN(a.s.) Aala tu(l.a.) Kamzaat hai ye baat samajh lay
MAIN(a.s.) Fatha hoo'n tu(l.a.) maat hai ye baat samajh lay
Yeh Baat alag baat hai yeh baat samajh lay
MAIN(a.s.) din hoo'n to tu(l.a.) raat hai yeh baat samajh lay
Yeh Baat samajh lay ke MAIN(a.s.) TOHEED Ki Jaa'n Hoo'n
Tu(l.a.) Rizq jahannum ka MAIN(a.s.) Sardaar-e-Jinaa'n Hoo'n

Mujh jaisa teray jaisay ki BAYAT na karay ga
Tu Yazeed-e-Azali(l.a.) hai MAIN HUSSAIN(a.s.) IBN-E-ALI(a.s.) HOO'N

Hai tera najis jism to shaitaan(l.a.) ki soorat
Paikar hai Mera SOORA-E-REHMAN Ki Soorat
Tu(l.a.) Paida huwa hai abu sufiyaan(l.a.) Ki soorat
Utra Hoo'n MOHAMMAD(s.a.w.w.) Peh MAIN(a.s.) QURA'AN ki Soorat
Sab log NABOOAT Ka samar kehtay hain mujh ko
Tu(l.a.) jehl hai aur Ilm ka Dar kehtay hain Mujh ko

Mujh jaisa teray jaisay ki BAYAT na karay ga
Tu Yazeed-e-Azali(l.a.) hai MAIN HUSSAIN(a.s.) IBN-E-ALI(a.s.) HOO'N

Tu(l.a.) jis mein pala woh abu sufiyaan(l.a.) ka ghar hai
MAIN(a.s.) jis mein raha HAZRAT-E-IMRAN(a.s.) Ka Ghar hai
Jo ghar hai tera asl mein shaitaan(l.a.) ka ghar hai
Ghar mera MOHAMMAD(s.a.w.w.) Ka hai QURAAN Ka Ghar hai
Tatheer nay paai hai Taharat meray Ghar mein
Har lamha barasti rahi la'anat teray ghar mein

Mujh jaisa teray jaisay ki BAYAT na karay ga
Tu Yazeed-e-Azali(l.a.) hai MAIN HUSSAIN(a.s.) IBN-E-ALI(a.s.) HOO'N

Kia deen ki khidmaat teray haath mein day doo'n
Islam ki har baat teray haath mein day doo'n
QURAAN Ki aayat teray haath mein day doo'n
Tu(l.a.) kehta hai MAIN(a.s.) Haath teray haath mein day doo'n
Ilzaam-e-Saqeefa hai teri zaat kay upar
Kul NABIYO'N Ka hai Haath meray haath kay oopar

Mujh jaisa teray jaisay ki BAYAT na karay ga
Tu Yazeed-e-Azali(l.a.) hai MAIN HUSSAIN(a.s.) IBN-E-ALI(a.s.) HOO'N

Mumkin hi nahin khuwab ki ta'abeer say bayat
Tareeki Talab karti hai tanweer say bayat
Tu(l.a.) Maangta hai kaatib-e-taqdeer say bayat
Hadd hai keh talab karta hai SHABBIR(a.s.) Say bayat
Rakh yaad ke daaman tera khaali hi rahay ga
Tu(l.a.) maangnay waala hai sawali hi rahay ga

Mujh jaisa teray jaisay ki BAYAT na karay ga
Tu Yazeed-e-Azali(l.a.) hai MAIN HUSSAIN(a.s.) IBN-E-ALI(a.s.) HOO'N

Kar ghor zara Aala Nasab tu(l.a.) hai ke MAIN(a.s.) Hoo'N
Kar ghor zara Shaan-e-Adab tu(l.a.) hai ke MAIN(a.s.) Hoo'N
Kar ghor zara Fakhr-e-Arab tu(l.a.) hai ke MAIN(a.s.) Hoo'N
Yeh Soch ke Khilqat ka sabab tu(l.a.) hai ke MAIN(a.s.) Hoo'N
Khaliq ka jo maqsood-e-Nazar MAIN(a.s.) Nahi'n Hota
Duniya hi nahin hoti agar MAIN(a.s.) Nahi'n hota

Mujh jaisa teray jaisay ki BAYAT na karay ga
Tu Yazeed-e-Azali(l.a.) hai MAIN HUSSAIN(a.s.) IBN-E-ALI(a.s.) HOO'N

Hai Noor ALI Noor ki tanweer ka Khutba
QURAAN kay Honto'n peh hai Tafseer ka Khutba
Farhan ALI, HAZRAT-E-SHABBIR(a.s.) ka Khutba
Taqdeer peh hai Katib-e-Taqdeer ka Khutba
Sabit huwa baatil ki himayat nahi'n karta
Jo RABB(j.j.) Ka numaindah ho bayat nahi'n karta

Mujh jaisa teray jaisay ki BAYAT na karay ga
Tu Yazeed-e-Azali(l.a.) hai MAIN HUSSAIN(a.s.) IBN-E-ALI(a.s.) HOO'N