Aise parwan chadhana
mujhe maulai banana, aye meri maa

Mujhko dena ye khazana
mujhe maulai banana, aye meri maa

1. Maa mujhe khoob padhana, aur namazi bhi banana..(2)
aur tabarra bhi sikhana
mujhe maulai banana, aye meri maa

2. Kar du duniya ko mai qaael, aise maula ke fazael..(2)
mujhe lori me sunana
mujhe maulai banana, aye meri maa

3. Maa mujhe jab bhi sulana, marsiye nauhe sunana..(2)
Ya Ali kehke jagana
mujhe maulai banana, aye meri maa

4. Aaye jab aath moharram, to mere waaste paiham..(2)
ek alam ghar me sajana
mujhe maulai banana, aye meri maa

5. Mana hai umr abhi kam, maa mujhe karna hai matam..(2)
mujhe zanjeer dilana
mujhe maulai banana, aye meri maa

6. Mujhko jo khana khilana, thanda pani jo pilana..(2)
karbala yaad dilana
mujhe maulai banana, aye meri maa

7. Zikr e sarwar ho mera kaam, gunje duniya me mera naam..(2)
nauhakhwan mujhko banana
mujhe maulai banana, aye meri maa

8. Jo wila se mujhe roke, jo aza pe mujhe toke..(2)
aise logo se bachana
mujhe maulai banana, aye meri maa

9. Aaye jab aisa zamana, jab mere sehra sajana..(2)
nauha akbar ka padhana
mujhe maulai banana, aye meri maa

10. Ye nahi maa ko nasihat, ye hai bus joshe aqeedat..(2)
iska maqsad hai batana
mujhe maulai banana, aye meri maa

11. Hai khuda se yahi hajat, rakh meri maa ko salamat..(2)
jisne is baat ko maana
mujhe maulai banana, aye meri maa

12. Manqabat zille raza ki, ye jo farha ne sunayi..(2)
ye hai bachpan ka tarana
mujhe maulai banana, aye meri maa..(3)