Hussain... Hussain
Aaj maidaa'n mein husain ibn e ali ghaiz mein hai
fatema ghaiz mein hai, haqq ke wali ghaiz mein hai
saath shabbir ke jitne hai sabhi ghaiz mein hai
aisa lagta hai sawa laakh nabi ghaiz mein hai
apni talwaar se baazi ye palat dega hussain
aaj maidaa'n ko jahannam mein ulat dega hussain
al hafeez o al-amaa'n..(4)

Hussain ghaiz mein hai..(10)

Aaj maidaa'n mein husain ibn e ali ghaiz mein hai
fatema ghaiz mein hai, haqq ke wali ghaiz mein hai
saath shabbir ke jitne hai sabhi ghaiz mein hai
aisa lagta hai sawa laakh nabi ghaiz mein hai
apni talwaar se baazi ye palat dega hussain
aaj maidaa'n ko jahannam mein ulat dega hussain

Hussain ghaiz mein hai..(4)

1. Faisla kun mere maula ki ladayi hogi
khoon mein tarr abhi darya ki tarayi hogi
maut ke sarpe ghata maut ki chayi hogi
aise maidaan mein har saff ki safayi hogi
denge koofe mein khabar bhaag ke jaane wale
bhaago bhaago yaha'n shabbir hai aane wale

Hussain ghaiz mein hai..(4)

2. Abhi khul jayega shabbir akele kya hai
fatemi sher ke aage ye darinde kya hai
saamne qamat e tauheed ke bole kya hai
shaam ke soorma apne ko samajhte kya hai
hoga is shaan se hamla asad e talib ka
kalma padh padhke marenge ye abu talib ka

Hussain ghaiz mein hai..(4)

3. Hogayi jung pe aamada khuda ki qudrat
ghaiz ko deke jagah hatt gayi peeche rehmat
pyaar se baat ki lekin nahi samjhi ummat
chhe mahine se bohot shor tha bay'at bay'at
tegh kuch der mein jab ibn e ali kholega
koi bay'at to kuja be bhi nhi bolega

Hussain ghaiz mein hai..(4)

4. Aasteeno ko ulat-te hai hussain ibn e ali
murtajiz se yaha shamsheer ali ki boli
saath dena hai tujhe mera aye rehwar e nabi
aakhri jung hai ye qabl e zahoor e Mehdi(a.t.f.s)
aaj har munkir e maula ko jakadna hoga
nau(9) imamo ki taraf se mujhe ladna hoga

Hussain ghaiz mein hai..(4)

5. Murtajiz bola mujhe bhi nahi aata hai qaraar
sheh ki nusrat ke liye mai hu azal se tayyar
dekh chehre pe numaya hai ghazab ke aasaar
yu udata hu mai khaak apne sumo se har baar
shamiyo ko hai batani mujhe hadd bay'at ki
pao se khod raha hu mai lahad bay'at ki

Hussain ghaiz mein hai..(4)

Shamiyo..shamiyo ibn e ali behre qitaal aaya hai
aaj allah ki rehmat ko jalaal aaya hai
Allah allah re shabbir ki aamad ka jalaal
teghe kham hoti hai dhaale hui jaati hai nidhaal
asr se pehle hua jaata hai lashkar ka zawaal
Shimr, khooli umar e saad sabhi hai behaal
khauf se aata nahi hai bine kahil rann mein
chupte phirte hai alamdaar ke qatil rann mein

Ya zahra....

6. Kehke ya zahra jo maula ne nikali talwaar
darr gaye dekhke kuch log nirali talwaar
kuch ne choro ki tarha peeche chupali talwaar
boli ye shaam ke lashkar se jalaali talwaar
waar se apne sabhi fitne karungi tukde
gin na payegi qaza itne karungi tukde

Hussain ghaiz mein hai..(4)

7. Afra tafree thi wo bhagdad thi wo halchal tauba
khoon se aisi bani dasht mein daldal tauba
apne halaat pe khud karta tha maqtal tauba
keh raha tha malakul maut musalsal tauba
khud ko girte hue har baar sambhala usne
sar bachate hue rooho ko nikala usne

Hussain ghaiz mein hai..(4)

8. Dekh kar tegh e dosar neher se sarke zalim
bhaagte phirte hai sab lashkar e sharr ke zalim
jaye to jaye kaha'n shaah se darr ke zalim
ghaat ke baaqi rahe aur na ghar ke zalim
ghar mein bhi ghusne na ab denge inhe ghar wale
kaaf-te-ye se bhi badd tar hue lashkar wale

Hussain ghaiz mein hai..(4)

9. Dum nikalta tha kisi ka koi be dum dekha
sakht garmi mein ajab sardi ka aalam dekha
khoon jamte hue sharyano mein payham dekha
fauj mein jisko uthaye hue parcham dekha
qatle abbas e alamdaar ka qazi bankar
sheh ne wo haath qalam kardiya ghaazi bankar

Hussain ghaiz mein hai..(4)

10. Maut bhi raqs mein thi kaisa ajab tha manzar
ek anbaar tarai pe tha lasho'n ka udhar
ye sama dekhne thehri hui sab ki thi nazar
khauf se neher mein jo doob gaye the jakar
mojein kehti thi unhein maar ke thokar niklo
dushman e hazrat e shabbir ho baher niklo

Hussain ghaiz mein hai..(4)

11. Dekh kar sheh ka ghazab bole farishte paiham
hone wali hai khudai abhi darham barham
bole jibreel na ghabrao farishto iss dam
khaliq e arz o sama hai yehi khaliq ki qasam
kya hua aaj khudai jo mita denge hussain
phir se duniya nayi kun kehke bana denge hussain

Hussain ghaiz mein hai..(4)

12. Neher bhi kehti thi yeh baat yehi sehra bhi
khauf ke maare hue kehte rahe aada bhi
zinda to zinda sadaa deta tha ye murda bhi
tegh bhi haider e qarraar ki hai beta bhi
iss se bachne ki tamanna hai to lillah padh lo
jitne zinda ho aliyun waliyullah padh lo

Hussain ghaiz mein hai..(4)

13. Murtaza ki ye sadaa aati thi shabash hussain
maa(j. Zahra(s.a.) takallum bhi kahe jaati thi shabash hussain
jad ka paighaam hawa laati thi shabash hussain
zaat e wajib bhi yeh farmati thi shabash hussain
daad dete tere ajdaad bhi aisa ladta
mai badan rakhta tu bilkul tere jaisa ladta

Hussain ghaiz mein hai..(4)