Dhoond ne nikle the jo duniya mein Haider doosra

Mill nahi paaya unhe ab tak Qalandar doosra

1. Hai kahaan Jibreel jo Rizwaan laaya hai libaas
Kya Ali ne rakh liya hai ghar mein naukar doosra

2. Hum tumhe dikhlaaenge Yusuf Ali ki aal mein
Tum na dikhla paaoge Nabiyo'n mein Akbar doosra

3. Jab Nabi kehte the Khaiber mein lade jaa kar koi
Dekhta tha ek ko fauran palatkar doosra

4. Iss ko maara hai Ali ne ye Ali ka kaam hai
Deklo hai pehle hisse ke baraabar doosra

5. Tegho'n ke saaye mein sona bus Ali ka kaam hai
Bhaag hi jaata agar hota waha'n par doosra

6. Aam darwaaze se jaae'n kyu khawaas-e-Kibriya
Hoga Kaabe mein Ali ke vaaste dar doosra

7. Le to aaye hai saqeefa waale rehbar doosra
Laayenge lekin kahaa'n se khum ka mimbar doosra

8. Keh rahi hai ye adaae'n Asghar-e-besheer ki
Chahiye in mutthiyo'n ko baab-e-Khaiber doosra