Ya zainab (6)

Bismillah (4)

Likh qalam saniye zehra ki Sanaa bismillah (2)
Wahi o ilhaam ko tehreer milaa bismillah
Baa ke nuqte se har ek nuqta milaa bismillah
Aaj ye raaz zamaane ko bataa bismillah
Ilm e Hyder ka khulaasa hai Ali ki beti
Doosri nehje balaagha hai Ali beti

Salaam binte Ali salaam ya zainab (2)

Aal e zehra ke liye saniye zehra zainab
Isliye zaat e ilaahii ne ye chaaha zainab
Mustaqil ho Teri chaukhat pe ujaala zainab
Teri khaatir ho naye rang ka zohra zainab
Bani haashim ka qamar (2) banke sitaara jaaye
Teri dehleez pe GAAZI ko utaara jaaye

Salaam binte Ali salaam ya zainab (2)

Jinki naalain ki kausain bhi mohtaaj mile
Wo nabi aur Ali bar sare meraaj mile
Tohfe allah se do kal ke liye aaj mile
Dono maasoomo ko ismat ke naye taaj mile
Shab e meraaj (2) ye taqseem khudaa ne kii hai
Fatema ek ko dii, ek ko zainab dii hai

Salaam binte Ali salaam ya zainab (2)

Maah e shaabaan e ekum aur wo noor e zainab
Kaaba e hazrat e zehra me zahoor e zainab
Panjatan hai isii khwaahish me huzoor e zainab
Meri aagosh ho gehwaara e toor e zainab
Uski marzii hai magar usko uthaaye Shabbir
Sabse pehle mujhe seene se lagaaye Shabbir

Salaam binte Ali salaam ya zainab (2)

Zulmate shaam ki tardeed hai pehlii shaban
Teen shaban ki tamheed hai pehlii shaban
Chauda Maasoomo ki ummeed hai pehlii shaban
Saari eido ke liye eid hai pehlii shaban
Arsh se banke (2) wilaayat ki safeer aayii hai
Lailatul qadr ke ghar eid e ghadeer aayii hai

Salaam binte Ali salaam ya zainab (2)

Tu ne us-qut(2) jo kahaa hogaye aadaa khaamoosh
Sirf aadaa hi nahii hogaya koofa khaamoosh
Sirf koofa hi nahii hogayi dunya khaamoosh
Sirf dunya hi nahii arsh e khudaa tha khaamoosh
Aisaa lehje ka asar tha, ke zamaana chup tha
Terii taazeem me khud Tera gharaana chup tha

Salaam binte Ali salaam ya zainab (2)

Pal me saakit bhare baazaar ki halchal kardii
Ek Hi baat me har baat mukammal kardii
Waqt par waqt ki dehleez mukaffal kardii
Din ko maazool kiyaa raat mu'attal kardii
Khauf me doobe huwe dil wo ubharne na diye
Saans bhi rokdiye log bhi Marne na diye

Salaam binte Ali salaam ya zainab (2)

Qaafla farsh e azaa kaa ye chalii hai lekar
Chauda sadiyo se khitaab iska hai jaarii ghar ghar
Taaziya, jhoola, alam, aansu hai iska lashkar
Kaun rokeyga bhalaa shaah ka maatam akbar
Karbala ka Jo har ek saahib e dil kaayil hai
Iski tableegh me Zainab ka lahoo shaamil hai
Salaam binte Ali salaam ya zainab (2)