*Dua-e-Ilaahi Adhmal balaa*

(Ai mere maula) x2 Sab logon ka imaan jaga dijiye maula (Ai mere maula) x2

    Bar rahi hai kaisi dilon mei ye nafrate (ho rahi hai kaisi mominon ki haalaate) x2 Dur ho rahi hai dilon se mohabbate (Ai mere maula) x2, Zehnon ki kadurat ko mitaa dijiye maula

    (Ai mere maula) x4
    Bar rahi hai meri nasib joro jafaa se, (jaata raha husne asar baste dua se) x2, Mit gaye hai ehle hunar kaare wafa se, (Ai mere maula) x2 ab raaz ka manzil ka bataa dijiye maula

    (Ai mere maula) x4
    Nazme gaahe deen mei tha naam hamara, (saltanat lagaa na saki daam hamara) x2, khouf pe mabni huwa har kaam hamara, (Ai mere maula) x2, phir maisamo mukhtar bana dijiye maula

    (Ai mere maula) x4
    Naazon ke hawaale se to ik khwaab bhi ham hai, (taarikh mei bas waarise mehraab bhi ham hai) x2, is daur mei ab saahibe mizraab bhi ham hai, (Ai mere maula) x2, jine ki hame shams dikhaa dijiye maula

    (Ai mere maula) x4
    Parti rahi taarikh hamara hi qasida, (nezon pe faqat tune parha haq ka jarida) x2, shaitan ki zad mei hai malango ka aqeeda, (Ai mere maula) x2, mirfat ka koi jaam pilaa dijiye maula

    (Ai mere maula) x4
    Ye deen amanat hai khayanat se bachaae, (is basme wilayat ko khilaafat se bachaae) x2, aankhon ki ita'at ko siyasat se bachaae, (Ai mere maula) x2, Bas majlison matam ko jilaa dijiye maula

    (Ai mere maula) x4
    Sadiyon se hi aulaade nabi giryaa kuna hai (shabbir ke aangan mei udhaasi hai fizaa hai) x2, haa fatema zehra ko bhala chain kahaan hai, (Ai mere maula) x2, Us qalbe shikasta ko dawaa dijiye maula

    (Ai mere maula) x4
    Mazlum qabile ki madad ke liye aaye, (asghar hai pyaasa use paani bhi pilaae) x2, ik dhuup mei baithi huwi maa ko bhi uthaae, (Ai mere maula) x2, sughra ko bhi asghar se milaa dijiye maula

    (Ai mere maula) x4
    Sab ehle azaa hoke pareshaan pukaare, (is aalaame ismaam ke insaan pukaare) x2, har saans mei hi shoukato farhaan pukaare, (Ai mere maula) x2, Parde se hi parde ko hataa dijiye maula

(Ai mere maula) x4